bhai bhulakkaD
dost haiñ apne bhaa.ī bhulakkaḌ
bāteñ in kī saarī gaḌbaḌ
raah chaleñ to rasta bhūleñ
bas meñ jaa.eñ to basta bhūleñ
pūrab jaa.eñ pachchhim pahuñcheñ
manzil par apnī kam pahuñcheñ
Topī hai to juutā ġhā.eb
juutā hai to moza ġhā.eb
pyālī meñ hai chamcha ulTā
pher rahe haiñ kañghā ulTā
kaam hai un kā saarā ulTā
aur to aur pajāma ulTā
lauT paḌeñge chalte chalte
chauñk uTheñge baiThe baiThe
saudā de kar daam na deñge
daam diye to chiiz na leñge
koī pukāre daam to laao
koī kahe banDal to uThāo
tairne jaa.eñ ghaḌī bhuul aa.eñ
baaġh meñ jaa.eñ chhaḌī bhuul aa.eñ
vo to ye kahiye ki ḳhudā ne
joḌ diye haiñ a.azā tan se
bāñdh rakhe haiñ sab kal purze
varna har roz aap ye sunte
gir ga.ī merī dāhinī chhañgulī
DhūñD rahā huuñ biich kī uñglī
kyā kahiye ausān haiñ ġhā.eb
kal se donoñ kaan haiñ ġhā.eb
ek to sābun-dān meñ paayā
ek na jaane kis ne uḌāyā
raan ek lipTī shaal se niklī
naak bañdhī rūmāl meñ niklī
tum ne to nahīñ dekhī bhaa.ī
khūñTī par thī khaal hamārī
bhūle kahīñ sar aur kahīñ dhaḌ
haa.e bichāre bhaa.ī bhulakkaḌ
dost hain apne bhai bhulakkaD
baaten in ki sari gaDbaD
rah chalen to rasta bhulen
bas mein jaen to basta bhulen
purab jaen pachchhim pahunchen
manzil par apni kam pahunchen
Topi hai to juta ghaeb
juta hai to moza ghaeb
pyali mein hai chamcha ulTa
pher rahe hain kangha ulTa
kaam hai un ka sara ulTa
aur to aur pajama ulTa
lauT paDenge chalte chalte
chaunk uThenge baiThe baiThe
sauda de kar dam na denge
dam diye to chiz na lenge
koi pukare dam to lao
koi kahe banDal to uThao
tairne jaen ghaDi bhul aaen
bagh mein jaen chhaDi bhul aaen
wo to ye kahiye ki KHuda ne
joD diye hain aaza tan se
bandh rakhe hain sab kal purze
warna har roz aap ye sunte
gir gai meri dahini chhanguli
DhunD raha hun bich ki ungli
kya kahiye ausan hain ghaeb
kal se donon kan hain ghaeb
ek to sabun-dan mein paya
ek na jaane kis ne uDaya
ran ek lipTi shaal se nikli
nak bandhi rumal mein nikli
tum ne to nahin dekhi bhai
khunTi par thi khaal hamari
bhule kahin sar aur kahin dhaD
hae bichaare bhai bhulakkaD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.