bhai-chaara
Interesting Fact
This Nazm was published in August 1977 in the journal Payam-e-Talim.
jañg chhiḌī ho sarhad par yā kahīñ lagī ho aag
puurā ho armān kisī kā yā so jaa.eñ bhaag
merī biin judā hai sab se merī judā hai raag
merī duniyā khel tamāshā maiñ huuñ munnā pyārā
sab ke dil kī rāhat huuñ maiñ sab kī aañkh kā taarā
maiñ ro.uuñ to mujh ko ghar ke saare log manā.eñ
maiñ so.uuñ to mere sapnoñ meñ pariyāñ aa jaa.eñ
maiñ jāgūñ to mujh ko ammī apne gale lagā.eñ
maiñ gā.ūñ to gaa.e jaise ye aalam hī saarā
sab ke dil kī rāhat huuñ maiñ sab kī aañkh kā taarā
duniyā ke saare bachchoñ kā yaksāñ hai afsāna
mere hī jaisā hai sab kī fitrat kā paimāna
miltī-jultī sī aadat hai ronā ho yā gaanā
merī manzil pyaar mohabbat merā sapnā nyārā
sab ke dil kī rāhat huuñ maiñ sab kī aañkh kā taarā
merī duniyā jañg nahīñ hai kaisī hāthā-pā.ī
ho koī hindū yā muslim sikh ho yā īsā.ī
merī nazar meñ sab yaksāñ haiñ sab haiñ mere bhaa.ī
mere jaise bachchoñ kā maz.hab hai bhā.ī-chāra
sab ke dil kī rāhat huuñ maiñ sab kī aañkh kā taarā
jang chhiDi ho sarhad par ya kahin lagi ho aag
pura ho arman kisi ka ya so jaen bhag
meri bin juda hai sab se meri juda hai rag
meri duniya khel tamasha main hun munna pyara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
main roun to mujh ko ghar ke sare log manaen
main soun to mere sapnon mein pariyan aa jaen
main jagun to mujh ko ammi apne gale lagaen
main gaun to gae jaise ye aalam hi sara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
duniya ke sare bachchon ka yaksan hai afsana
mere hi jaisa hai sab ki fitrat ka paimana
milti-julti si aadat hai rona ho ya gana
meri manzil pyar mohabbat mera sapna nyara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
meri duniya jang nahin hai kaisi hatha-pai
ho koi hindu ya muslim sikh ho ya isai
meri nazar mein sab yaksan hain sab hain mere bhai
mere jaise bachchon ka mazhab hai bhai-chaara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.