bhai
pichhlī raat ko niiñd na aa.ī
maiñ ne ik tasvīr banā.ī
us tasvīr ne mujh se pūchhā
kaun ho tum ai mere bhaa.ī
maiñ bolā ik qaidī huuñ maiñ
jis kī qismat hai tanhā.ī
andhe kueñ meñ Daal ke ik din
ruḳhsat ho ga.e mere bhaa.ī
us din se sab bhuul gayā maiñ
kyā nīchā.ī kyā ūñchā.ī
kaisā añdherā kaisā ujālā
kaisī āñkheñ kyā bīnā.ī
kaise pahāḌ aur kaise jangal
kaisī vaadī kaisī tarā.ī
kitnī ūñchī hogī choTī
kaisī hotī hai gahrā.ī
kaise hañste ubalte chashme
kaisī dariyā kī lambā.ī
kaisī hotī haiñ dīvāreñ
kaisī hotī hai añgnā.ī
kaise din aur kaisī rāteñ
kaise parbat kaisī raa.ī
kaise shahr aur kaisī galiyāñ
kaise bajtī hai shahnā.ī
ab kuchh yaad nahīñ aatā hai
kyā apnī hai kyā hai parā.ī
tab tasvīr ye mujh se bolī
mere bhaa.ī mere bhaa.ī
pūrab pachchhim uttar dakhkhin
kuchh detā hai tum ko dikhā.ī
maiñ kyā kahtā kuchh na bolā
duur kī ik āvāz sī aa.ī
bhaa.ī bhaa.ī bhaa.ī bhaa.ī
pichhli raat ko nind na aai
main ne ek taswir banai
us taswir ne mujh se puchha
kaun ho tum ai mere bhai
main bola ek qaidi hun main
jis ki qismat hai tanhai
andhe kuen mein Dal ke ek din
ruKHsat ho gae mere bhai
us din se sab bhul gaya main
kya nichai kya unchai
kaisa andhera kaisa ujala
kaisi aankhen kya binai
kaise pahaD aur kaise jangal
kaisi wadi kaisi tarai
kitni unchi hogi choTi
kaisi hoti hai gahrai
kaise hanste ubalte chashme
kaisi dariya ki lambai
kaisi hoti hain diwaren
kaisi hoti hai angnai
kaise din aur kaisi raaten
kaise parbat kaisi rai
kaise shahr aur kaisi galiyan
kaise bajti hai shahnai
ab kuchh yaad nahin aata hai
kya apni hai kya hai parai
tab taswir ye mujh se boli
mere bhai mere bhai
purab pachchhim uttar dakhkhin
kuchh deta hai tum ko dikhai
main kya kahta kuchh na bola
dur ki ek aawaz si aai
bhai bhai bhai bhai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 116)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.