bhaarat ke bachcho
bhārat-māñ kī aañkh ke taaro
nanhe-munne rāj-dulāro
jaise maiñ ne tum ko sañvārā
vaise hī tum desh sañvāro
bhārat maañ kī aañkh ke taaro
ye jo hai ik chhoTā sā basta
ilm ke phūloñ kā guldasta
kirshn hai is meñ raam hai is meñ
budh mat aur islām hai is meñ
ye basta iisā kī kahānī
ye basta nānak kī baanī
is meñ chhupī hai har sachchā.ī
apnā sukh auroñ kī bhalā.ī
is baste ko siis navāo
is baste par tan-man vaaro
bhārat maañ kī aañkh ke taaro
chhoḌ ke jhūTī zāteñ-pāteñ
sab se sīkho achchhī bāteñ
apnā kisī se bair na samjho
jag meñ kisī ko ġhair na samjho
aap paḌho auroñ ko paḌhāo
ghar ghar gyaan kī jot jagāo
navjīvan kī aas tumhīñ ho
bantā huā itihās tumhīñ ho
jitnā gahrā añdhiyārā ho
utne ūñche diip ubhāro
ye sansār jo ham ne sajāyā
ye sansār jo tum ne paayā
is sansār meñ jhuuT bahut hai
zulm bahut hai luuT bahut hai
zulm ke aage sar na jhukānā
har ik jhuuT se Takrā jaanā
is sansār kā rang badalnā
uuñch aur niich kā Dhang badalnā
saarā jag hai desh tumhārā
saare jag kā ruup nikhāro
bhārat-māñ kī aañkh ke taaro
bhaarat-man ki aankh ke taro
nanhe-munne raj-dularo
jaise main ne tum ko sanwara
waise hi tum desh sanwaro
bhaarat man ki aankh ke taro
ye jo hai ek chhoTa sa basta
ilm ke phulon ka guldasta
kirshn hai is mein ram hai is mein
budh mat aur islam hai is mein
ye basta isa ki kahani
ye basta nanak ki bani
is mein chhupi hai har sachchai
apna sukh auron ki bhalai
is baste ko sis nawao
is baste par tan-man waro
bhaarat man ki aankh ke taro
chhoD ke jhuTi zaten-paten
sab se sikho achchhi baaten
apna kisi se bair na samjho
jag mein kisi ko ghair na samjho
aap paDho auron ko paDhao
ghar ghar gyan ki jot jagao
nawjiwan ki aas tumhin ho
banta hua itihas tumhin ho
jitna gahra andhiyara ho
utne unche dip ubhaaro
ye sansar jo hum ne sajaya
ye sansar jo tum ne paya
is sansar mein jhuT bahut hai
zulm bahut hai luT bahut hai
zulm ke aage sar na jhukana
har ek jhuT se Takra jaana
is sansar ka rang badalna
unch aur nich ka Dhang badalna
sara jag hai desh tumhaara
sare jag ka rup nikhaaro
bhaarat-man ki aankh ke taro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.