bhaarat ke musalman
is daur meñ tū kyuuñ hai pareshān-o-hirāsāñ
kyā baat hai kyuuñ hai mutazalzal terā īmāñ
dānish-kada-e-dahr kī ai sham-e-farozāñ
ai matla-e-tahzīb ke ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ
hairat hai ghaTāoñ meñ terā nuur ho tarsāñ
bhārat ke musalmāñ
tū dard-e-mohabbat kā talabgār azal se
tū mehr-o-muravvat kā parastār azal se
tū mahram-e-har-lazzat-e-asrār azal se
virsa terā rānā.i-e-afkār azal se
rānā.i-e-afkār ko kar phir se ġhazal-ḳhvāñ
bhārat ke musalmāñ
hargiz na bhalā 'mīr' kā 'ġhālib' kā tarāna
ban jaa.e kahīñ terī haqīqat na fasāna
qazzāq-e-fanā ko to hai darkār bahāna
tārāj na ho 'qāsim-o-'sayyad' kā ḳhazāna
ai 'qāsim'-o-'sayyad' ke ḳhazāne ke nigahbāñ
bhārat ke musalmāñ
'hāfiz' ke tarannum ko basā qalb-o-nazar meñ
'rūmī' ke tafakkur ko sajā qalb-o-nazar meñ
'sādī' ke takallum ko biThā qalb-o-nazar meñ
de naġhma-e-'ḳhayyām' ko jā qalb-o-nazar meñ
ye lahn ho phir hind kī duniyā meñ ho afshāñ
bhārat ke musalmāñ
tūfān meñ tū DhūñDh rahā hai jo kinārā
amvāj kā kar dīda-e-bātin se nazārā
mumkin hai ki har mauj bane terā sahārā
mumkin hai ki har mauj nazar ko ho gavārā
mumkin hai ki sāhil ho pas-e-parda-e-tūfāñ
bhārat ke musalmāñ
zāhir kī mohabbat se muravvat se guzar jā
bātin kī adāvat se kudūrat se guzar jā
be-kār dil-afgār qayādat se guzar jā
is daur kī bosīda siyāsat se guzar jā
aur azm se phir thaam zarā dāman-e-īmāñ
bhārat ke musalmāñ
islām kī ta.alīm se begāna huā tū
nā-mahram-e-har-jur.at-e-rindāna huā tū
ābādī-e-har-bazm thā vīrāna huā tū
tū ek haqīqat thā ab afsāna huā tū
mumkin ho to phir DhūñDh gañvā.e hue sāmāñ
bhārat ke musalmāñ
ajmer kī dargāh-e-mua.allā terī jāgīr
mahbūb-e-ilāhī kī zamīñ par tirī tanvīr
zarrāt meñ kaliyar ke farozāñ tirī tasvīr
hāñsī kī fazāoñ meñ tire kaif kī tāsīr
sarhind kī miTTī se tire dam se farozāñ
bhārat ke musalmāñ
har zarra-e-dehlī hai tire zau se munavvar
punjab kī mastī asar-e-jazb-e-qalandar
gañgoh kī taqdīs se quddūs sarāsar
paTne kī zamīñ nik.hat-e-ḳhvāja se mo.attar
madras kī miTTī meñ nihāñ tāj-e-shahīdāñ
bhārat ke musalmāñ
'bastāmī'-o-'basarī'-o-'muarrā'-o-'ġhazālī'
jis ilm kī jis faqr kī duniyā ke the vaalī
hairat hai tū ab hai usī duniyā meñ savālī
hai gosha-e-pastī meñ tirī himmat-e-ālī
afsos-sad-afsos tirī tañgī-e-dāmāñ
bhārat ke musalmāñ
maz.hab jise kahte haiñ vo kuchh aur hai pyāre
nafrat se pare is kā har ik taur hai pyāre
maz.hab meñ ta.assub to baḌā jaur hai pyāre
aql-o-ḳhirad-o-ilm kā ye daur hai pyāre
is daur meñ maz.hab kī sadāqat ho numāyāñ
bhārat ke musalmāñ
islām to mehr aur mohabbat kā bayāñ hai
iḳhlās kī rūdād-e-muravvat kā bayāñ hai
har sho.aba-e-hastī meñ sadāqat kā bayāñ hai
ek zinda-o-pā.inda haqīqat kā bayāñ hai
kyuuñ dil meñ tire ho na haqīqat ye farozāñ
bhārat ke musalmāñ
islām kī ta.alīm farāmosh huī kyuuñ
insān kī tāzīm farāmosh huī kyuuñ
afrād kī tanzīm farāmosh huī kyuuñ
ḳhallās kī aqlīm farāmosh huī kyuuñ
hairat meñ huuñ maiñ dekh ke ye ālam-e-nisyāñ
bhārat ke musalmāñ
māhaul kī ho taaza havā tujh ko gavārā
darkār hai tahzīb ko phir terā sahārā
kar aaj na.e rañg se duniyā kā nazārā
chamkegā phir ik baar tire baḳht kā taarā
ho jā.egī tārīkī-e-māhaul gurezāñ
bhārat ke musalmāñ
is daur mein tu kyun hai pareshan-o-hirasan
kya baat hai kyun hai mutazalzal tera iman
danish-kada-e-dahr ki ai sham-e-farozan
ai matla-e-tahzib ke KHurshid-e-daraKHshan
hairat hai ghaTaon mein tera nur ho tarsan
bhaarat ke musalman
tu dard-e-mohabbat ka talabgar azal se
tu mehr-o-murawwat ka parastar azal se
tu mahram-e-har-lazzat-e-asrar azal se
wirsa tera ranai-e-afkar azal se
ranai-e-afkar ko kar phir se ghazal-KHwan
bhaarat ke musalman
hargiz na bhala 'mir' ka 'ghaalib' ka tarana
ban jae kahin teri haqiqat na fasana
qazzaq-e-fana ko to hai darkar bahana
taraj na ho 'qasim-o-'sayyad' ka KHazana
ai 'qasim'-o-'sayyad' ke KHazane ke nigahban
bhaarat ke musalman
'hafiz' ke tarannum ko basa qalb-o-nazar mein
'rumi' ke tafakkur ko saja qalb-o-nazar mein
'sadi' ke takallum ko biTha qalb-o-nazar mein
de naghma-e-'KHayyam' ko ja qalb-o-nazar mein
ye lahn ho phir hind ki duniya mein ho afshan
bhaarat ke musalman
tufan mein tu DhunDh raha hai jo kinara
amwaj ka kar dida-e-baatin se nazara
mumkin hai ki har mauj bane tera sahaara
mumkin hai ki har mauj nazar ko ho gawara
mumkin hai ki sahil ho pas-e-parda-e-tufan
bhaarat ke musalman
zahir ki mohabbat se murawwat se guzar ja
baatin ki adawat se kudurat se guzar ja
be-kar dil-afgar qayaadat se guzar ja
is daur ki bosida siyasat se guzar ja
aur azm se phir tham zara daman-e-iman
bhaarat ke musalman
islam ki talim se begana hua tu
na-mahram-e-har-jurat-e-rindana hua tu
aabaadi-e-har-bazm tha virana hua tu
tu ek haqiqat tha ab afsana hua tu
mumkin ho to phir DhunDh ganwae hue saman
bhaarat ke musalman
ajmer ki dargah-e-mualla teri jagir
mahbub-e-ilahi ki zamin par teri tanwir
zarraat mein kaliyar ke farozan teri taswir
hansi ki fazaon mein tere kaif ki tasir
sarhind ki miTTi se tere dam se farozan
bhaarat ke musalman
har zarra-e-dehli hai tere zau se munawwar
punjab ki masti asar-e-jazb-e-qalandar
gangoh ki taqdis se quddus sarasar
paTne ki zamin nikhat-e-KHwaja se moattar
madras ki miTTi mein nihan taj-e-shahidan
bhaarat ke musalman
'bastami'-o-'basari'-o-'muarra'-o-'ghazali'
jis ilm ki jis faqr ki duniya ke the wali
hairat hai tu ab hai usi duniya mein sawali
hai gosha-e-pasti mein teri himmat-e-ali
afsos-sad-afsos teri tangi-e-daman
bhaarat ke musalman
mazhab jise kahte hain wo kuchh aur hai pyare
nafrat se pare is ka har ek taur hai pyare
mazhab mein tassub to baDa jaur hai pyare
aql-o-KHirad-o-ilm ka ye daur hai pyare
is daur mein mazhab ki sadaqat ho numayan
bhaarat ke musalman
islam to mehr aur mohabbat ka bayan hai
iKHlas ki rudad-e-murawwat ka bayan hai
har shoaba-e-hasti mein sadaqat ka bayan hai
ek zinda-o-painda haqiqat ka bayan hai
kyun dil mein tere ho na haqiqat ye farozan
bhaarat ke musalman
islam ki talim faramosh hui kyun
insan ki tazim faramosh hui kyun
afrad ki tanzim faramosh hui kyun
KHallas ki aqlim faramosh hui kyun
hairat mein hun main dekh ke ye aalam-e-nisyan
bhaarat ke musalman
mahaul ki ho taza hawa tujh ko gawara
darkar hai tahzib ko phir tera sahaara
kar aaj nae rang se duniya ka nazara
chamkega phir ek bar tere baKHt ka tara
ho jaegi tariki-e-mahaul gurezan
bhaarat ke musalman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.