bhaarat ki adaen
ik duniyā ko taḌpātī haiñ jaanā na adā.eñ bhārat kī
par dil par choT lagātī haiñ pur-dard sadā.eñ bhārat kī
vo is kī zamīñ vo is kā falak vo chāñd kī vo sūraj kī chamak
vo tāroñ kī bāham chashmak dilkash vo fazā.eñ bhārat kī
āñkhoñ ko ThanDak detī haiñ man kī chintā har letī haiñ
ākāsh pe jab chhā jaatī haiñ ghanghor ghaTā.eñ bhārat kī
ik baar yahāñ jo aatā hai bas bhārat kā ho jaatā hai
har dil kī jot jagātī haiñ rañgīn fazā.eñ bhārat kī
kyā ulTā rañg hai duniyā kā kyā auñdhī aql hī duniyā kī
bhārat ke liye janjāl baneñ duniyā se vafā.eñ bhārat kī
lākhoñ bīmār taḌapte haiñ lākhoñ nādār phaḌakte haiñ
bañgāl bihār chalo to zarā hālat dikhlā.eñ bhārat kī
bhārat-bāshī izzat paa.eñ phir in ke achchhe din aa.eñ
is ik maqsad par mil jaa.eñ jitnī bhī sabhā.eñ bhārat kī
phir āzādī ke saaz bajeñ phir des ko apne bhaag lageñ
phir ek ek kar ke puurī hoñ saarī ichhā.eñ bhārat kī
ham sab aapas meñ mil jaa.eñ dil kī kaliyāñ khil khil jaa.eñ
yuuñ mil-jul kar phir duur kareñ saarī biptā.eñ bhārat kī
'gāñdhī' hoñ 'qā.id-e-āzam' hoñ ye hoñ vo hoñ yā koī ho
jo qaum kī ḳhidmat kartā hai paatā hai duā.eñ bhārat kī
jo hindū aur musalmāñ ko shah de de kar laḌvāte haiñ
vo haath se apne karte haiñ tayyār chitāeñ bhārat kī
duniyā ke hilā.e hil na sakeñ duniyā ke miTā.e miT na sakeñ
kuchh aisī haiñ kuchh aisī haiñ mazbūt binā.eñ bhārat kī
'nayyar' ham apnī ḳhidmat se firdaus banā deñ bhārat ko
phir is duniyā meñ az-sar-e-nau ham qadr baḌhā.eñ bhārat kī
ek duniya ko taDpati hain jaana na adaen bhaarat ki
par dil par choT lagati hain pur-dard sadaen bhaarat ki
wo is ki zamin wo is ka falak wo chand ki wo suraj ki chamak
wo taron ki baham chashmak dilkash wo fazaen bhaarat ki
aankhon ko ThanDak deti hain man ki chinta har leti hain
aakash pe jab chha jati hain ghanghor ghaTaen bhaarat ki
ek bar yahan jo aata hai bas bhaarat ka ho jata hai
har dil ki jot jagati hain rangin fazaen bhaarat ki
kya ulTa rang hai duniya ka kya aundhi aql hi duniya ki
bhaarat ke liye janjal banen duniya se wafaen bhaarat ki
lakhon bimar taDapte hain lakhon nadar phaDakte hain
bangal bihaar chalo to zara haalat dikhlaen bhaarat ki
bhaarat-bashi izzat paen phir in ke achchhe din aaen
is ek maqsad par mil jaen jitni bhi sabhaen bhaarat ki
phir aazadi ke saz bajen phir des ko apne bhag lagen
phir ek ek kar ke puri hon sari ichhaen bhaarat ki
hum sab aapas mein mil jaen dil ki kaliyan khil khil jaen
yun mil-jul kar phir dur karen sari biptaen bhaarat ki
'gandhi' hon 'qaid-e-azam' hon ye hon wo hon ya koi ho
jo qaum ki KHidmat karta hai pata hai duaen bhaarat ki
jo hindu aur musalman ko shah de de kar laDwate hain
wo hath se apne karte hain tayyar chitaen bhaarat ki
duniya ke hilae hil na saken duniya ke miTae miT na saken
kuchh aisi hain kuchh aisi hain mazbut binaen bhaarat ki
'nayyar' hum apni KHidmat se firdaus bana den bhaarat ko
phir is duniya mein az-sar-e-nau hum qadr baDhaen bhaarat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.