bhaarat naya banaen
ik iiñT tum bhī laao
ik iiñT ham bhī laa.eñ
pyaar aur ektā kā
ūñchā mahal banā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
ik peḌ tum ugaao
ik peḌ ham ugā.eñ
sukh chain shāntī kā
mil ke chaman banā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
kuchh phuul tum bhī laao
kuchh phuul ham bhī laa.eñ
ḳhāk-e-vatan kī ḳhushbū
māhaul meñ basā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
ik nahr tum banāo
ik nahr ham banā.eñ
phir ektā kā paanī
har khet ko pilā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
ik diip tum jalāo
ik diip ham jalā.eñ
nafrat kī sab ke dil se
tārīkiyāñ miTā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
khetoñ meñ khaad paanī
de ke anaaj ugā.eñ
koī rahe na bhūkā
sab peT bhar ke khā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
pichhḌoñ ko ham uThā.eñ
aglī safoñ meñ laa.eñ
sab kī taraqqī kar ke
ḳhush-hāl unheñ banā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
bijlī ke kār-ḳhāne
aao na.e lagā.eñ
bijlī kī jo kamī hai
is ko zarā miTā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
ta.alīm technical
sab logoñ ko dilā.eñ
ta.alīm-o-tarbiyat se
ik inqalāb laa.eñ
bhārat nayā banā.eñ
duniyā meñ sab se uupar
bhārat ko ab uThā.eñ
ham se bhī sīkhne ko
duniyā ke log aa.eñ
bhārat nayā banā.eñ
amrit hai saty kā phal
hai zahr jhuuT kā phal
phal ektā kā mīThā
kaḌvā hai phuuT kā phal
peḌ ektā ke aao
chāroñ taraf lagā.eñ
sab ke liye chaman meñ
ik sā.ebān banā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
bhārat nayā banā.eñ
ek inT tum bhi lao
ek inT hum bhi laen
pyar aur ekta ka
uncha mahal banaen
bhaarat naya banaen
ek peD tum ugao
ek peD hum ugaen
sukh chain shanti ka
mil ke chaman banaen
bhaarat naya banaen
kuchh phul tum bhi lao
kuchh phul hum bhi laen
KHak-e-watan ki KHushbu
mahaul mein basaen
bhaarat naya banaen
ek nahr tum banao
ek nahr hum banaen
phir ekta ka pani
har khet ko pilaen
bhaarat naya banaen
ek dip tum jalao
ek dip hum jalaen
nafrat ki sab ke dil se
tarikiyan miTaen
bhaarat naya banaen
kheton mein khad pani
de ke anaj ugaen
koi rahe na bhuka
sab peT bhar ke khaen
bhaarat naya banaen
pichhDon ko hum uThaen
agli safon mein laen
sab ki taraqqi kar ke
KHush-haal unhen banaen
bhaarat naya banaen
bijli ke kar-KHane
aao nae lagaen
bijli ki jo kami hai
is ko zara miTaen
bhaarat naya banaen
talim technical
sab logon ko dilaen
talim-o-tarbiyat se
ek inqalab laen
bhaarat naya banaen
duniya mein sab se upar
bhaarat ko ab uThaen
hum se bhi sikhne ko
duniya ke log aaen
bhaarat naya banaen
amrit hai saty ka phal
hai zahr jhuT ka phal
phal ekta ka miTha
kaDwa hai phuT ka phal
peD ekta ke aao
chaaron taraf lagaen
sab ke liye chaman mein
ek saeban banaen
bhaarat naya banaen
bhaarat naya banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.