bhaarat
zikr har ek aan bhārat kā
mo'tarif hai jahān bhārat kā
zā'frānī safed aur sabza
hai tirangā nishān bhārat kā
apne bhārat pe jaañ luTā degā
shauq se har javān bhārat kā
jaan de kar kahā shahīdoñ ne
tum ko rakhnā hai dhyān bhārat kā
ḳhuun se kar ga.e shahīd-e-vatan
naam shāyān-e-shān bhārat kā
saarī duniyā meñ apnī mehnat se
nāmvar hai kisān bhārat kā
ham ko ġhaddār kyoñ samajhte ho
ham ne rakkhā hai maan bhārat kā
zikr har ek aan bhaarat ka
mo'tarif hai jahan bhaarat ka
za'frani safed aur sabza
hai tiranga nishan bhaarat ka
apne bhaarat pe jaan luTa dega
shauq se har jawan bhaarat ka
jaan de kar kaha shahidon ne
tum ko rakhna hai dhyan bhaarat ka
KHun se kar gae shahid-e-watan
nam shayan-e-shan bhaarat ka
sari duniya mein apni mehnat se
namwar hai kisan bhaarat ka
hum ko ghaddar kyon samajhte ho
hum ne rakkha hai man bhaarat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.