bhagwan kirshn ke charnon mein shardha ke phul chaDhane ko
bhagwan kirshn ke charnon mein shardha ke phul chaDhane ko
Aaftab Rais Panipati
MORE BYAaftab Rais Panipati
ik prem pujārī aayā hai charnoñ meñ dhyān lagāne ko
bhagvān tumhārī mūrat par shardhā ke phuul chaḌhāne ko
vo prem kā tūfāñ dil meñ uThā ki zabt kā yaarā hī na rahā
āñkhoñ meñ ashk umañD aa.e premī kā haal batāne ko
tum nand ko nain ke taare ho tum diin dukhī ke sahāre ho
tum nañge pairoñ Dhāne ho bhagtoñ kā maan baḌhāne ko
āñkhoñ se ḳhuun Tapaktā hai siine par ḳhanjar chaltā hai
man-mohan jald ḳhabar lenā dīnoñ kī jaan bachāne ko
furqat meñ tumhārī qalb ke TukḌe āñkhoñ se bah jaate haiñ
ai kirshn murārī aao bhī rātoñ ko dher bañdhāne ko
phir sāñvlī chhab dikhlā do zarā phir prem kā rañg jamā do zarā
gokul meñ shyām nikal aao murlī kī Ter sunāne ko
updesh dharam kā de kar phir balvān banā do bhagtoñ ko
ai mohan jald zabāñ kholo giitā ke raaz batāne ko
ek prem pujari aaya hai charnon mein dhyan lagane ko
bhagwan tumhaari murat par shardha ke phul chaDhane ko
wo prem ka tufan dil mein uTha ki zabt ka yara hi na raha
aankhon mein ashk umanD aae premi ka haal batane ko
tum nand ko nain ke tare ho tum din dukhi ke sahaare ho
tum nange pairon Dhane ho bhagton ka man baDhane ko
aankhon se KHun Tapakta hai sine par KHanjar chalta hai
man-mohan jald KHabar lena dinon ki jaan bachane ko
furqat mein tumhaari qalb ke TukDe aankhon se bah jate hain
ai kirshn murari aao bhi raaton ko dher bandhane ko
phir sanwli chhab dikhla do zara phir prem ka rang jama do zara
gokul mein shyam nikal aao murli ki Ter sunane ko
updesh dharam ka de kar phir balwan bana do bhagton ko
ai mohan jald zaban kholo gita ke raaz batane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.