bhagwan-ram
zindagī itrā rahī hai aaj tere naam par
naaz hai paiġhambaroñ ko bhī tire paiġhām par
rahbar-e-insāniyat terī aqīdat ke tufail
ham ne ġhalba pā liyā hai gardish-e-ayyām par
mere dil kī vus.ateñ añgḌā.iyāñ lene lagīñ
jalva dekhā jab tirā har moḌ par har gaam par
kyuuñ na ho phir āqibat kī fikr se vo be-niyāz
zindagī qurbān kar dī jis ne tere naam par
maujzan hai jis meñ ai charḳh ik surūr-e-sarmadī
merī duniyā hai tasadduq is chhalakte jaam par
zindagi itra rahi hai aaj tere nam par
naz hai paighambaron ko bhi tere paigham par
rahbar-e-insaniyat teri aqidat ke tufail
hum ne ghalba pa liya hai gardish-e-ayyam par
mere dil ki wusaten angDaiyan lene lagin
jalwa dekha jab tera har moD par har gam par
kyun na ho phir aaqibat ki fikr se wo be-niyaz
zindagi qurban kar di jis ne tere nam par
maujzan hai jis mein ai charKH ek surur-e-sarmadi
meri duniya hai tasadduq is chhalakte jam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.