bhakkar
bhakkar ke bāzār ko dekhā
sahrā meñ gulzār ko dekhā
majbūroñ ke peT ko dekhā
qā.id-e-āzam gate ko dekhā
kyā samjhe kyā jaane dekhā
sab ko siina taane dekhā
shalvāroñ se 'aarī dekhā
tah-bandoñ ko jaarī dekhā
kaliyoñ ko sharmāte dekhā
khul kar Dholā gaate dekhā
hotel vaale 'arsh pe dekhe
hotel saare farsh pe dekhe
gāhak aur byopārī dekhe
duble dekhe bhārī dekhe
saaf aur phaile phaile dekhe
kapḌe maile maile dekhe
laḌke chhail-chhabīle dekhe
har-sū ret ke Tiile dekhe
TuuTe phūTe naale dekhe
muḳhlis tāñge vaale dekhe
bastī rastī bastī dekhī
mulkoñ kī bhī hastī dekhī
galī galī dil-afzā dekhī
thal vāloñ kī duniyā dekhī
mazdūroñ kī mahfil dekhī
duur se kapḌe kī mil dekhī
begam dekhī bāñdī dekhī
dhan vāloñ kī chāñdī dekhī
daulat 'izzat vaalī dekhī
jeb ġharīb kī ḳhālī dekhī
rahm ke tālib bande dekhe
zardāroñ ke phande dekhe
'ilm-o-adab ke paale dekhe
shohrat ke matvāle dekhe
shā'ir she'r sunāte dekhe
sāme' sardī khāte dekhe
dil baḌhte dil ghaTte dekhe
murġh baTere baTte dekhe
haal meñ doñgḌā paḌte dekhe
bhūke sher ko laḌte dekhe
ik tasvīr nirālī dekhī
daane bhūnne vaalī dekhī
sho'la dekhā shabnam dekhī
phūloñ meñ ḳhushbū kam dekhī
duniyā āñkheñ malte dekhī
vaqt kī chakkī chalte dekhī
nāsūroñ ko riste dekhā
insānoñ ko piste dekhā
kuchh shatranj kī baazī dekhī
kuchh mehmān-navāzī dekhī
ek taraf insān ko dekhā
shaiḳh ko dekhā ḳhaan ko dekhā
pyāroñ ke andāz ko dekhā
suufī jī ke naaz ko dekhā
ek adā-e-ḳhās ko dekhā
logoñ ke iḳhlās ko dekhā
sher afzal kī shaan ko dekhā
momin ke īmān ko dekhā
'adam' ne chhup kar saaqī dekhā
ham ne sab kuchh baaqī dekhā
bhakkar ke bazar ko dekha
sahra mein gulzar ko dekha
majburon ke peT ko dekha
qaid-e-azam gate ko dekha
kya samjhe kya jaane dekha
sab ko sina tane dekha
shalwaron se 'ari dekha
tah-bandon ko jari dekha
kaliyon ko sharmate dekha
khul kar Dhola gate dekha
hotel wale 'arsh pe dekhe
hotel sare farsh pe dekhe
gahak aur byopari dekhe
duble dekhe bhaari dekhe
saf aur phaile phaile dekhe
kapDe maile maile dekhe
laDke chhail-chhabile dekhe
har-su ret ke Tile dekhe
TuTe phuTe nale dekhe
muKHlis tange wale dekhe
basti rasti basti dekhi
mulkon ki bhi hasti dekhi
gali gali dil-afza dekhi
thal walon ki duniya dekhi
mazduron ki mahfil dekhi
dur se kapDe ki mil dekhi
begam dekhi bandi dekhi
dhan walon ki chandi dekhi
daulat 'izzat wali dekhi
jeb gharib ki KHali dekhi
rahm ke talib bande dekhe
zardaron ke phande dekhe
'ilm-o-adab ke pale dekhe
shohrat ke matwale dekhe
sha'ir she'r sunate dekhe
same' sardi khate dekhe
dil baDhte dil ghaTte dekhe
murgh baTere baTte dekhe
haal mein dongDa paDte dekhe
bhuke sher ko laDte dekhe
ek taswir nirali dekhi
dane bhunne wali dekhi
sho'la dekha shabnam dekhi
phulon mein KHushbu kam dekhi
duniya aankhen malte dekhi
waqt ki chakki chalte dekhi
nasuron ko riste dekha
insanon ko piste dekha
kuchh shatranj ki bazi dekhi
kuchh mehman-nawazi dekhi
ek taraf insan ko dekha
shaiKH ko dekha KHan ko dekha
pyaron ke andaz ko dekha
sufi ji ke naz ko dekha
ek ada-e-KHas ko dekha
logon ke iKHlas ko dekha
sher afzal ki shan ko dekha
momin ke iman ko dekha
'adam' ne chhup kar saqi dekha
hum ne sab kuchh baqi dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.