bharam
saḌak saaf sīdhī hai aur dhuup hai
dopahar kā safar
ik akelī saḌak pair-tasma-bapā yuuñ chalī jā rahī hai
ki jaise chalī hī nahīñ īstāda hai bas
jaise be sar ke dhaḌ aur kaTe paañv ke aadmī
aadmī tum bhī ho aadmī maiñ bhī huuñ
aur tum ne bharam rakh liyā
tum ne achchhā kiyā merī āñkhoñ meñ jhāñkā nahīñ
varna Dar jaate tum
gahre paanī ke nīche bhī paanī thā uupar bhī paanī thā
aur paanī meñ ik surḳh
be-jagah be-vaj.h khul gayā thā yūñhī
saDak saf sidhi hai aur dhup hai
dopahar ka safar
ek akeli saDak pair-tasma-bapa yun chali ja rahi hai
ki jaise chali hi nahin istada hai bas
jaise be sar ke dhaD aur kaTe panw ke aadmi
aadmi tum bhi ho aadmi main bhi hun
aur tum ne bharam rakh liya
tum ne achchha kiya meri aankhon mein jhanka nahin
warna Dar jate tum
gahre pani ke niche bhi pani tha upar bhi pani tha
aur pani mein ek surKH
be-jagah be-wajh khul gaya tha yunhi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 609)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.