bhaTka musafir
maiñ jab chhoTā thā
apnī maañ se aksar
zid ye kartā thā
sunāo dopahar meñ
tum mujhe koī kahānī
koī aisī kahānī
jis meñ shahzādī ho
tum jaisī
koī aisī kahānī
sīmiyā-gar
jis meñ shahzāda ho
mujh jaisā
vo kahtī be-ḳhabar
ma.alūm bhī hai
sunātā hai agar
dopahar meñ koī kahānī
to bechāre musāfir
ghar kā rasta bhuul jaate haiñ
meñ ab bachcha nahīñ
maañ bhī nahīñ
na koī pariyoñ kī kahānī
bas ek ḳhvāboñ kī nagrī
aur ek bhaTkā musāfir
main jab chhoTa tha
apni man se aksar
zid ye karta tha
sunao dopahar mein
tum mujhe koi kahani
koi aisi kahani
jis mein shahzadi ho
tum jaisi
koi aisi kahani
simiya-gar
jis mein shahzada ho
mujh jaisa
wo kahti be-KHabar
malum bhi hai
sunata hai agar
dopahar mein koi kahani
to bechaare musafir
ghar ka rasta bhul jate hain
mein ab bachcha nahin
man bhi nahin
na koi pariyon ki kahani
bas ek KHwabon ki nagri
aur ek bhaTka musafir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.