bhaTki hui bewa
barsāt kā mausam raat añdherī dil pe bhī haibat chhā.ī huī
thā peḌ nazar aatā na koī ghir ghir ghaTā thī aa.ī huī
tūfān thā bād-o-bārāñ kā bijlī bhī kaḌaktī phirtī thī
sardī se phaTā jaatā thā badan vo barf zamīñ par girtī thī
thī rāsta bhūlī ik beva aur daaġh jigar par khaa.ī huī
rag rag se Tapaktī hasrat thī aur sar pe ajal mañDlā.ī huī
thā baal rañDāpā sog nayā kapḌe the phaTe zaḳhmī thā jigar
miltī thī koī us ko na panāh phir phir ke palaT aatī thī nazar
biptā kī vo maarī aisī thī duniyā meñ koī dildār na thā
thī saarī ḳhudā.ī pesh-e-nazar par us kā koī ġham-ḳhvār na thā
māñ-bāp haiñ us ke jannat meñ aur sair haiñ karte shām-o-sahar
aur gor meñ bachche khelte haiñ saath apne pitā ke aaTh pahar
ye kheltā un ko dekh sake ik saudā samāyā thā sar meñ
siine se lagā kar pyaar kare thā shauq ye qalb-e-muztar meñ
pahlū meñ chhupā.e hasrat ko sahrāoñ meñ thī vo ghuum rahī
ruk ruk ke qadam ko baḌhātī thī mastoñ kī tarah thī jhuum rahī
āḳhir vo girī be-dam ho kar kāñToñ se ladī ik jhāḌī par
thā hosh na us ko apnā kuchh thā dil meñ na us ke ḳhauf-o-ḳhatar
jaatī hai fazā-e-jannat meñ dukh-dard vo saare bhūlegī
ulfat ke tarāne gā gā kar jhūle meñ ḳhushī ke jhūlegī
barsat ka mausam raat andheri dil pe bhi haibat chhai hui
tha peD nazar aata na koi ghir ghir ghaTa thi aai hui
tufan tha baad-o-baran ka bijli bhi kaDakti phirti thi
sardi se phaTa jata tha badan wo barf zamin par girti thi
thi rasta bhuli ek bewa aur dagh jigar par khai hui
rag rag se Tapakti hasrat thi aur sar pe ajal manDlai hui
tha baal ranDapa sog naya kapDe the phaTe zaKHmi tha jigar
milti thi koi us ko na panah phir phir ke palaT aati thi nazar
bipta ki wo mari aisi thi duniya mein koi dildar na tha
thi sari KHudai pesh-e-nazar par us ka koi gham-KHwar na tha
man-bap hain us ke jannat mein aur sair hain karte sham-o-sahar
aur gor mein bachche khelte hain sath apne pita ke aaTh pahar
ye khelta un ko dekh sake ek sauda samaya tha sar mein
sine se laga kar pyar kare tha shauq ye qalb-e-muztar mein
pahlu mein chhupae hasrat ko sahraon mein thi wo ghum rahi
ruk ruk ke qadam ko baDhati thi maston ki tarah thi jhum rahi
aaKHir wo giri be-dam ho kar kanTon se ladi ek jhaDi par
tha hosh na us ko apna kuchh tha dil mein na us ke KHauf-o-KHatar
jati hai faza-e-jannat mein dukh-dard wo sare bhulegi
ulfat ke tarane ga ga kar jhule mein KHushi ke jhulegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.