bhayanak KHwab
zindagī ek ḳhvāb hai bhayānak ḳhvāb
ghaḌiyāl par raat ke bārah baj chuke haiñ
magar merī khulī āñkhoñ se dekhā gayā
bhayānak ḳhvāb merī niiñd kī
niiñd uḌā chukā hai
mere hāthoñ kī kāmyābī kī lakīroñ ne
mere hāthoñ se hijrat kar lī hai
parinde merā dard samajhte haiñ
lekin vo apnī zabān meñ in
insānoñ ko nahīñ samjhā sakte
mujhe ab ḳhvāboñ se ḳhauf aatā hai
har raat merā ek ḳhvāb
merī pāñch rātoñ kī nīñdoñ kī
hijrat kā sabab bantā hai
merī niiñd kī ḳhātir
raat ab pachchīsveñ ghanTe kī paidā.ish
ke liye tayyār ho ga.ī hai
parinde mere janam-din kī tayārī
meñ masrūf haiñ
aur maiñ is soch meñ gum huuñ
kyā zindagī vāqa.ī ek ḳhvāb hai
ek bhayānak ḳhvāb
lekin shāyad zindagī ek nazm hai
jo taklīfoñ kī havelī hai
zindagi ek KHwab hai bhayanak KHwab
ghaDiyal par raat ke barah baj chuke hain
magar meri khuli aankhon se dekha gaya
bhayanak KHwab meri nind ki
nind uDa chuka hai
mere hathon ki kaamyabi ki lakiron ne
mere hathon se hijrat kar li hai
parinde mera dard samajhte hain
lekin wo apni zaban mein in
insanon ko nahin samjha sakte
mujhe ab KHwabon se KHauf aata hai
har raat mera ek KHwab
meri panch raaton ki nindon ki
hijrat ka sabab banta hai
meri nind ki KHatir
raat ab pachchiswen ghanTe ki paidaish
ke liye tayyar ho gai hai
parinde mere janam-din ki tayari
mein masruf hain
aur main is soch mein gum hun
kya zindagi waqai ek KHwab hai
ek bhayanak KHwab
lekin shayad zindagi ek nazm hai
jo taklifon ki haweli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.