bhikaran ki laDki
sach maan bhikāran kī laḌkī maiñ dil kī baat sunātā huuñ
tū haath apnā phailā.e hai aur maiñ sharmāyā jaatā huuñ
tū mujh ko duā.eñ detī hai aur maiñ aañsū barsātā huuñ
tū jin fāqoñ kī maarī hai maiñ bhī un se Takrātā huuñ
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī hī tarah muflis huuñ maiñ
iflās ke tāne-bāne meñ merā terā uljhāo vahī
mere aur tere kāñTe par dukh aur sukh kā hai bhaav vahī
tere siine par choT hai jo mere dil meñ hai ghaav vahī
terī jo TuuTī kashtī hai merī hai shikasta naav vahī
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī hī tarah muflis huuñ maiñ
maiñ jhoñpaḌiyoñ meñ rahtā huuñ terā pul ke nīche maskan
donoñ meñ taaq na mehrābeñ kaisī baiThak kaisā āñgan
pul ke nīche tārīkī se khelī na kabhī sūraj kī kiran
aur chāñd darīchoñ se mujh ko dene aaya na kabhī darshan
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī hī tarah muflis huuñ maiñ
qudrat ne ek siyāhī se donoñ kī likhī haiñ taqdīreñ
khīñchī haiñ ek hī kāġhaz par iflās kī donoñ tasvīreñ
hāthoñ kī lakīreñ miltī haiñ māthe kī haiñ yaksāñ tahrīreñ
donoñ kī ashk-bharī āñkheñ bad-baḳhtī kī haiñ ta.abīreñ
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī tarah muflis huuñ maiñ
ye gaaḌe kī shalvār tirī bosīda aur purānī hai
kurtā phaT jaane ke baa.is tū sharm se pānī-pānī hai
ye merī bhī mailī chādar jo merī maañ kī nishānī hai
bas jāḌoñ kī hai shaal yahī barkhā kī machchhar-dānī hai
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī hī tarah muflis huuñ maiñ
ab tujh se ruḳhsat hotā huuñ tujh par ho rahmat kā saayā
kis muflis shā.ir ke aage tū ne bhī dāman phailāyā
siine meñ dāġhoñ kī daulat āñkhoñ meñ ashkoñ kī maayā
qassām-e-azal ke hāthoñ se bas is ke sivā aur kyā paayā
phir tū hī jī meñ soch zarā duuñ bhī tujh ko to kyā duuñ maiñ
sach maan bhikāran kī laḌkī terī hī tarah muflis huuñ maiñ
sach man bhikaran ki laDki main dil ki baat sunata hun
tu hath apna phailae hai aur main sharmaya jata hun
tu mujh ko duaen deti hai aur main aansu barsata hun
tu jin faqon ki mari hai main bhi un se Takraata hun
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri hi tarah muflis hun main
iflas ke tane-bane mein mera tera uljhao wahi
mere aur tere kanTe par dukh aur sukh ka hai bhaw wahi
tere sine par choT hai jo mere dil mein hai ghaw wahi
teri jo TuTi kashti hai meri hai shikasta naw wahi
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri hi tarah muflis hun main
main jhonpaDiyon mein rahta hun tera pul ke niche maskan
donon mein taq na mehraben kaisi baiThak kaisa aangan
pul ke niche tariki se kheli na kabhi suraj ki kiran
aur chand darichon se mujh ko dene aaya na kabhi darshan
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri hi tarah muflis hun main
qudrat ne ek siyahi se donon ki likhi hain taqdiren
khinchi hain ek hi kaghaz par iflas ki donon taswiren
hathon ki lakiren milti hain mathe ki hain yaksan tahriren
donon ki ashk-bhari aankhen bad-baKHti ki hain tabiren
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri tarah muflis hun main
ye gaDe ki shalwar teri bosida aur purani hai
kurta phaT jaane ke bais tu sharm se pani-pani hai
ye meri bhi maili chadar jo meri man ki nishani hai
bas jaDon ki hai shaal yahi barkha ki machchhar-dani hai
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri hi tarah muflis hun main
ab tujh se ruKHsat hota hun tujh par ho rahmat ka saya
kis muflis shair ke aage tu ne bhi daman phailaya
sine mein daghon ki daulat aankhon mein ashkon ki maya
qassam-e-azal ke hathon se bas is ke siwa aur kya paya
phir tu hi ji mein soch zara dun bhi tujh ko to kya dun main
sach man bhikaran ki laDki teri hi tarah muflis hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.