bhikari
ai bhikārī tujhe kaahe ko yaqīñ aa.egā
maiñ bhī terī hī tarah vaqf-e-ġham-e-daurāñ huuñ
yaar tū bhī nigah-e-qahr kā maarā hai magar
kam se kam tere liye raunaq-e-bāzār to hai
mere aañsū hī to haiñ mere liye la.al-o-gohar
tere kashkol meñ kuchh sikkoñ kī jhankār to hai
jab bhī dekhā mujhe lalchā.ī huī nazroñ se
mahfil-e-dahr meñ jī hai ki umañD aaya hai
mujh ko ḳhush karne kī ḳhātir ye duā.eñ kaisī
in duāoñ ne to kuchh aur bhī taḌpāyā hai
log ākāsh se aa.e ki ye ġham duur kareñ
baat pahuñchī to gulistāñ se bayābānoñ tak
haañ magar vo ki jo māhir haiñ lahū piine meñ
haath pahuñchā hī nahīñ un ke garebānoñ tak
kahne ko 'hātim'-o-'qārūn'-o-'karan' bhī aa.e
apne hisse meñ vahī ranj-o-mehan haiñ ki jo the
jur.at-e-'īsā'-o-'mansūr' se bhī kuchh na huā
roz-o-shab marhala-e-dār-o-rasan haiñ ki jo the
dar-ba-dar yūñhī ham āvāra phireñge kab tak
kyoñ na haq chhīn leñ is dahr-e-jafākār se ham
ai bhikari tujhe kahe ko yaqin aaega
main bhi teri hi tarah waqf-e-gham-e-dauran hun
yar tu bhi nigah-e-qahr ka mara hai magar
kam se kam tere liye raunaq-e-bazar to hai
mere aansu hi to hain mere liye lal-o-gohar
tere kashkol mein kuchh sikkon ki jhankar to hai
jab bhi dekha mujhe lalchai hui nazron se
mahfil-e-dahr mein ji hai ki umanD aaya hai
mujh ko KHush karne ki KHatir ye duaen kaisi
in duaon ne to kuchh aur bhi taDpaya hai
log aakash se aae ki ye gham dur karen
baat pahunchi to gulistan se bayabanon tak
han magar wo ki jo mahir hain lahu pine mein
hath pahuncha hi nahin un ke garebanon tak
kahne ko 'hatim'-o-'qarun'-o-'karan' bhi aae
apne hisse mein wahi ranj-o-mehan hain ki jo the
jurat-e-'isa'-o-'mansur' se bhi kuchh na hua
roz-o-shab marhala-e-dar-o-rasan hain ki jo the
dar-ba-dar yunhi hum aawara phirenge kab tak
kyon na haq chhin len is dahr-e-jafakar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.