bhuk
ek gaalī jo kīchaḌ ke mānind chaspāñ huī
hoñT jo kāsa-e-muflisī ban ga.e
haath jo gardanoñ par jhapaTne lage
aur chāval ke jab chand daane mile
añtaḌiyoñ kā ye ātish-fishāñ bujh gayā
peT kī bhuuk sach-much jahannam kā tanūr hai
lekin is bhuuk kā kyā mudāvā kareñ
jo usūloñ ke is qaht meñ
apne zaḳhmoñ pe ḳhāmosh hai
shār-e-ām par chāTtī hai unheñ
aur is bhiiḌ meñ
kaun hai jo use bhiik de
sab bhikārī haiñ koī dayālū nahīñ
ek gali jo kichaD ke manind chaspan hui
honT jo kasa-e-muflisi ban gae
hath jo gardanon par jhapaTne lage
aur chawal ke jab chand dane mile
antaDiyon ka ye aatish-fishan bujh gaya
peT ki bhuk sach-much jahannam ka tanur hai
lekin is bhuk ka kya mudawa karen
jo usulon ke is qaht mein
apne zaKHmon pe KHamosh hai
shaar-e-am par chaTti hai unhen
aur is bhiD mein
kaun hai jo use bhik de
sab bhikari hain koi dayalu nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.