bhuki nasl ka tarana
maiñ bhūkī nasl huuñ
mere malūl o muzmahil chehra pe
ThanDī chāñdnī kā aks mat DhūñDo
mirā be-rañg-o-bū chehra
jamī hai an-ginat fāqoñ kī jis par dhuul barsoñ se
zamīñ ke chand fir.aunoñ ko apnī ḳhashmagīñ nazroñ se taktā hai
mire ajdād bhī
merī tarah bhūke the lekin mujh meñ aur un meñ
zamīn-o-āsmāñ kā farq hai shāyad
vo apnī bhuuk ko taqdīr kā likkhā samajhte the
qanā.at un kā takiya thā
tavakkul un kā sheva thā
magar maiñ aisī har jhūTī tasallī kā muḳhālif huuñ
muqaddar ke añdheroñ meñ nahīñ
merā yaqīñ hai raushnī-e-sub.h-e-fardā meñ
maiñ bhūkī nasl huuñ
mere laboñ par nāla-o-fariyād kī lai ke evaz
ik aag hai
tevar meñ ġhussa hai
ye vo ġhussa hai jis se
merā dushman thartharātā hai
main bhuki nasl hun
mere malul o muzmahil chehra pe
ThanDi chandni ka aks mat DhunDo
mera be-rang-o-bu chehra
jami hai an-ginat faqon ki jis par dhul barson se
zamin ke chand firaunon ko apni KHashmagin nazron se takta hai
mere ajdad bhi
meri tarah bhuke the lekin mujh mein aur un mein
zamin-o-asman ka farq hai shayad
wo apni bhuk ko taqdir ka likkha samajhte the
qanaat un ka takiya tha
tawakkul un ka shewa tha
magar main aisi har jhuTi tasalli ka muKHalif hun
muqaddar ke andheron mein nahin
mera yaqin hai raushni-e-subh-e-farda mein
main bhuki nasl hun
mere labon par nala-o-fariyaad ki lai ke ewaz
ek aag hai
tewar mein ghussa hai
ye wo ghussa hai jis se
mera dushman thartharaata hai
- Book : Ababeel (Pg. 21)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.