bhul bhaliyan
ḳhush thī kashtī lagā kar gale se hameñ
ye hamārī ham us ke nigah-dār the
ham musāfir savār us meñ jitne bhī the
us kī barqī adā ke parastār the
us ko shāyad thā ma.alūm us se faqat
sipurd-e-tafrīh ke ham talabgār the
le ga.ī pal meñ un pāniyoñ tak hameñ
jo talātum kī lahroñ se kaf-e-dār the
jañgaloñ se bharī sīdhī Dhalvāñ par
husn roīdagī ke fusūñ zaar the
donoñ jānib taToñ pe safede ke peḌ
chiknī chiknī sī chhāloñ kī dīvār the
har tanā phab rahā thā hare suiT meñ
sabz shāḳhoñ ke patte chamakdār the
puure joban par aa.ī huī ghaas thī
ūñche ūñche zamurrad ke ambār the
jis taraf bhī kahīñ barf kī oT thī
oT meñ surḳh phaloñ ke añgār the
sar nikāle hue pattharoñ ke kalas
marġh-zāroñ ke mahloñ mīnār the
meñh kī būñdoñ ke sar ho rahe the qalam
tez jhuuT the yā tez talvār the
barq-o-bārāñ kā tūfāñ javāñ sā huā
barf ke saath paanī ravāñ sā huā
ye huā to hameñ ye gumāñ sā huā
ye manāzir thī un ghaḌsī jin kī phaban
pur-ḳhatar se kisī fan kā me.aar the
ik muhim jo musavvir kā shahkār the
yuuñ to ham bhī musavvir the fankār the
rañg-o-alfāz ke kaif meñ Duub kar
ḳhud hī ko DhūñDne ke talabgār the
ḳhud hī girdāb the ḳhud hī mañjhdār the
dushman-e-jāñ hamāre hī afkār the
pech dar pech dil meñ giraftār the
ham na is paar the ham na us paar the
KHush thi kashti laga kar gale se hamein
ye hamari hum us ke nigah-dar the
hum musafir sawar us mein jitne bhi the
us ki barqi ada ke parastar the
us ko shayad tha malum us se faqat
sipurd-e-tafrih ke hum talabgar the
le gai pal mein un paniyon tak hamein
jo talatum ki lahron se kaf-e-dar the
jangalon se bhari sidhi Dhalwan par
husn roidagi ke fusun zar the
donon jaanib taTon pe safede ke peD
chikni chikni si chhaalon ki diwar the
har tana phab raha tha hare suiT mein
sabz shaKHon ke patte chamakdar the
pure joban par aai hui ghas thi
unche unche zamurrad ke ambar the
jis taraf bhi kahin barf ki oT thi
oT mein surKH phalon ke angar the
sar nikale hue pattharon ke kalas
margh-zaron ke mahlon minar the
meinh ki bundon ke sar ho rahe the qalam
tez jhuT the ya tez talwar the
barq-o-baran ka tufan jawan sa hua
barf ke sath pani rawan sa hua
ye hua to hamein ye guman sa hua
ye manazir thi un ghaDsi jin ki phaban
pur-KHatar se kisi fan ka mear the
ek muhim jo musawwir ka shahkar the
yun to hum bhi musawwir the fankar the
rang-o-alfaz ke kaif mein Dub kar
KHud hi ko DhunDne ke talabgar the
KHud hi girdab the KHud hi manjhdar the
dushman-e-jaan hamare hi afkar the
pech dar pech dil mein giraftar the
hum na is par the hum na us par the
- Book : auraq-shumara-number-007-008-ma (Pg. 254)
- Author : Wazeer Aagha,sajjad Naqvi
- Publication : Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore (July,augast-1979 Issu,7,8)
- Edition : July,augast-1979 Issu,7,8
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.