bhul gae tum
ham hañs kar hī rah jaate haiñ
aañsū aa kar ruk jaate haiñ
tum chuppī samajh na paate ho
ham chup ho kar kah jaate haiñ
vo shor jahāñ hotī thī bāteñ
tabdīl ho ga.ī sannāToñ meñ
maiñ raat aur tū sub.h ho gayā
jo milte haiñ bas shāmoñ meñ
maiñ rah ga.ī tujh ko yaad kiye
bas jhūTī hañsī Thahākoñ meñ
tū Duub gayā ġham meñ kuchh ziyāda
ki chhūT ga.ī maiñ yādoñ meñ
hum hans kar hi rah jate hain
aansu aa kar ruk jate hain
tum chuppi samajh na pate ho
hum chup ho kar kah jate hain
wo shor jahan hoti thi baaten
tabdil ho gai sannaTon mein
main raat aur tu subh ho gaya
jo milte hain bas shamon mein
main rah gai tujh ko yaad kiye
bas jhuTi hansi Thahakon mein
tu Dub gaya gham mein kuchh ziyaada
ki chhuT gai main yaadon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.