bhul jao mujhe
vo to yuuñ thā ki ham
apnī apnī zarūrat kī ḳhātir
apne apne taqāzoñ ko puurā kiyā
apne apne irādoñ kī takmīl meñ
tīra-o-tār ḳhvāhish kī sañglāḳh rāhoñ pe chalte rahe
phir bhī rāhoñ meñ kitne shagūfe khile
vo to yuuñ thā ki baḌhte ga.e silsile
varna yuuñ hai ki ham
ajnabī kal bhī the
ajnabī ab bhī haiñ
ab bhī yuuñ hai ki tum
har qasam toḌ do
sab zideñ chhoḌ do
aur agar yuuñ na thā to yūñhī soch lo
tum ne iqrār hī kab kiyā thā ki maiñ
tum se mansūb huuñ
maiñ ne isrār hī kab kiyā thā ki tum
yaad aao mujhe
bhuul jaao mujhe
wo to yun tha ki hum
apni apni zarurat ki KHatir
apne apne taqazon ko pura kiya
apne apne iradon ki takmil mein
tira-o-tar KHwahish ki sanglaKH rahon pe chalte rahe
phir bhi rahon mein kitne shagufe khile
wo to yun tha ki baDhte gae silsile
warna yun hai ki hum
ajnabi kal bhi the
ajnabi ab bhi hain
ab bhi yun hai ki tum
har qasam toD do
sab ziden chhoD do
aur agar yun na tha to yunhi soch lo
tum ne iqrar hi kab kiya tha ki main
tum se mansub hun
main ne israr hi kab kiya tha ki tum
yaad aao mujhe
bhul jao mujhe
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 491)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.