bhut
bastī meñ ḳhauf utartā hai galiyoñ meñ hū phailātā huuñ
pīpal ke nīche shaam Dhale apnā darbār lagātā huuñ
tum raat ga.e tak bistar meñ betāl kathā.eñ paḌhte ho
maiñ chupke-chupke nīñdoñ meñ maayā ke jaal bichhātā huuñ
kuchh Darte ho ghabrāte ho tum siiTī laakh bajāte ho
vīrāne meñ jab chalte ho maiñ pīchhe-pīchhe aatā huuñ
tum ne bhī sunā hogā shāyad maiñ ghaTte chāñd kī rātoñ meñ
sannāTe kī paa.el bāñdhe marghaT meñ naach dikhātā huuñ
jab Dhaa.ī ghaḌī kuchh gaane kī ḳhvāhish angḌā.ī letī hai
maiñ duur kahīñ sargoshī meñ vahshat kā giit sunātā huuñ
shai koī bhaTaktī āñgan meñ rah-rah ke dikhā.ī detī hai
taftīsh karo to kurte kā dhundlā saayā ban jaatā huuñ
hai raaz kī baat suno 'tāriq' lekin ye kisī se mat kahnā
maiñ bhuut huuñ vahmī logoñ ke zehnoñ meñ aan samātā huuñ
basti mein KHauf utarta hai galiyon mein hu phailata hun
pipal ke niche sham Dhale apna darbar lagata hun
tum raat gae tak bistar mein betal kathaen paDhte ho
main chupke-chupke nindon mein maya ke jal bichhata hun
kuchh Darte ho ghabraate ho tum siTi lakh bajate ho
virane mein jab chalte ho main pichhe-pichhe aata hun
tum ne bhi suna hoga shayad main ghaTte chand ki raaton mein
sannaTe ki pael bandhe marghaT mein nach dikhata hun
jab Dhai ghaDi kuchh gane ki KHwahish angDai leti hai
main dur kahin sargoshi mein wahshat ka git sunata hun
shai koi bhaTakti aangan mein rah-rah ke dikhai deti hai
taftish karo to kurte ka dhundla saya ban jata hun
hai raaz ki baat suno 'tariq' lekin ye kisi se mat kahna
main bhut hun wahmi logon ke zehnon mein aan samata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.