bhut
ham vahāñ pe baiThe the
baad meñ huā ma.alūm
maiñ vahāñ akelā thā
bhuut maiñ ne dekhe the
ḳhauf se maiñ larzā thā
aur aaj tak tab se dil mirā dhaḌaktā hai
jab bhī koī detā hai dil ke parde par dastak
mujh ko aisā lagtā hai ye havā kā jhoñkā thā
ham to jaane vaale the ek saath hī lekin
jab vahāñ pe pahuñche ham maiñ vahāñ akelā thā
duur duur tak koī saaya tak nahīñ paayā
ik ajiib aalam thā
ik ajiib dhokā thā
hum wahan pe baiThe the
baad mein hua malum
main wahan akela tha
bhut main ne dekhe the
KHauf se main larza tha
aur aaj tak tab se dil mera dhaDakta hai
jab bhi koi deta hai dil ke parde par dastak
mujh ko aisa lagta hai ye hawa ka jhonka tha
hum to jaane wale the ek sath hi lekin
jab wahan pe pahunche hum main wahan akela tha
dur dur tak koi saya tak nahin paya
ek ajib aalam tha
ek ajib dhoka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.