bhut
ġham-zada raat kī tanhā.ī meñ
ye udaas aur fasurda bargad
mujh ko ik bhuut nazar aatā hai
us kī shāḳheñ ye chamakte ḳhanjar
der se mere lahū ke pyāse
daf.atan merī taraf baḌhte haiñ
aaj kī raat na bach pā.ūñgā
dam-ba-ḳhud soyā bhī huuñ jaagā bhī
koī patta jo khaḌak jaatā hai
dil-e-be-tāb dhaḌak jaatā hai
gham-zada raat ki tanhai mein
ye udas aur fasurda bargad
mujh ko ek bhut nazar aata hai
us ki shaKHen ye chamakte KHanjar
der se mere lahu ke pyase
dafatan meri taraf baDhte hain
aaj ki raat na bach paunga
dam-ba-KHud soya bhi hun jaga bhi
koi patta jo khaDak jata hai
dil-e-be-tab dhaDak jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.