Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhut

MORE BYMateen Achalpuri

    thā kuchh roz pahle mirā bail khoyā

    isī fikr meñ maiñ na us raat soyā

    use DhūñDhne muñh añdhere maiñ niklā

    idhar us ko DhūñDā udhar us ko DhūñDā

    talāsh us ko kartā huā maiñ chalā thā

    simaT aayā tan meñ bas ik zalzala

    mire sāmne bhuut aayā achānak

    baḌā ḳhaufnāk aur baḌā bhayānak

    phañsī halq meñ chīḳh patthar the paañv

    chalī aa rahī thī vo ḳhuñḳhār chhāñv

    gale paḌ ga.ī thī ajab raat ḳhūnī

    mujhe rok paa.ī na thī bad-shugūnī

    mirā rāsta kaaT baiThī thī billī

    phaḌaktī thī do roz se aañkh merī

    magar maiñ na samjhā magar maiñ na jaanā

    kahā maiñ ne apne ko ḳhabtī divāna

    thā lohār dhoñknī merā siina

    huā rahā thā pasīna pasīna

    nigāhoñ se bijlī girāne ko thī

    bas ab vo balā TuuT jaane ko thī

    ka.ī lamhe is taur se maiñ ne dekhā

    khulā raaz jab ġhaur se maiñ ne dekhā

    nigāheñ añdhere meñ chamkā rahā thā

    mirā bail mere qarīb aa rahā thā

    tha kuchh roz pahle mera bail khoya

    isi fikr mein main na us raat soya

    use DhunDhne munh andhere main nikla

    idhar us ko DhunDa udhar us ko DhunDa

    talash us ko karta hua main chala tha

    simaT aaya tan mein bas ek zalzala sa

    mere samne bhut aaya achanak

    baDa KHaufnak aur baDa hi bhayanak

    phansi halq mein chiKH patthar the panw

    chali aa rahi thi wo KHunKHar chhanw

    gale paD gai thi ajab raat KHuni

    mujhe rok pai na thi bad-shuguni

    mera rasta kaT baiThi thi billi

    phaDakti thi do roz se aankh meri

    magar main na samjha magar main na jaana

    kaha main ne apne ko KHabti diwana

    tha lohaar ki dhonkni mera sina

    hua ja raha tha pasina pasina

    nigahon se bijli girane hi ko thi

    bas ab wo bala TuT jaane hi ko thi

    kai lamhe is taur se main ne dekha

    khula raaz jab ghaur se main ne dekha

    nigahen andhere mein chamka raha tha

    mera bail mere qarib aa raha tha

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now