bhut
mire huoñ se Daro nahīñ
ye kahā thā tum ne
jo mar ga.e
vo zamīñ ke andar utar ga.e
in mare huoñ kī bhaTaktī phirtī
ḳhushī ġhamī ke azaab sahtī
nahīf rūhoñ se Darnā kaisā
kahā thā tum ne
nahīñ
maiñ Dartā nahīñ huuñ un se
bhaTaktī phirtī
zamīñ kā chakkar lagātī rūhoñ se ḳhauf kaisā
jo ḳhud patañge ke karb meñ mubtalā hoñ un se
kisī ko ḳhatra nahīñ hai koī
magar maiñ Dartā huuñ un ke Dhāñchoñ se
jo zamīn meñ utar ga.e the
zamīñ ke pāToñ meñ pis ga.e the
vo ḳhushk Dhāñche ki aaj aaseb ban ga.e haiñ
zamīñ ke andhe kueñ se bāhar nikal paḌe haiñ
nahīñ ye rūheñ nahīñ haiñ bhaa.ī
ye sab dhueñ ke kasīf halqe haiñ
bhuut haiñ un mare huoñ ke
jo sabz dhartī ke gard chakkar lagā rahe haiñ
jo garm bojhal muhīb sāñsoñ
kī parchhā.iyoñ se
zamīñ kā panDā jalā rahe haiñ
diyā zamīñ kā bujhā rahe haiñ
mere huon se Daro nahin
ye kaha tha tum ne
jo mar gae
wo zamin ke andar utar gae
in mare huon ki bhaTakti phirti
KHushi ghami ke azab sahti
nahif ruhon se Darna kaisa
kaha tha tum ne
nahin
main Darta nahin hun un se
bhaTakti phirti
zamin ka chakkar lagati ruhon se KHauf kaisa
jo KHud patange ke karb mein mubtala hon un se
kisi ko KHatra nahin hai koi
magar main Darta hun un ke Dhanchon se
jo zamin mein utar gae the
zamin ke paTon mein pis gae the
wo KHushk Dhanche ki aaj aaseb ban gae hain
zamin ke andhe kuen se bahar nikal paDe hain
nahin ye ruhen nahin hain bhai
ye sab dhuen ke kasif halqe hain
bhut hain un mare huon ke
jo sabz dharti ke gard chakkar laga rahe hain
jo garm bojhal muhib sanson
ki parchhaiyon se
zamin ka panDa jala rahe hain
diya zamin ka bujha rahe hain
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 72)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.