bichhDa hua maujud hai
jaane vaale to gayā kab hai
mire dāman meñ
tere ḳhush-dilā dilāsoñ kā dhuāñ jāgtā hai
mere jūtoñ meñ tire paañv paḌe haiñ ab tak
aaj bhī maiñ unheñ dho dho ke piyā kartā huuñ
terī ḳhushbū pe kabhī gard nahīñ jamne dī
terī pheñkī huī bātoñ ko laboñ meñ bhar kar
tere lahje kī shabāhat meñ
utar jaane kā
lutf vo jaane jise hijr mile
tere kaaTe hue mausam se koī dhajjī agar
haath aa.e to zaḳhīra use kar letā huuñ
terī utran se uThātā huuñ na.ī dhaj kā javāz
tere dekhe hue ḳhvāboñ pe mujhe niiñd aa.e
mere ā.īne meñ raushan hai abhī terā vajūd
raat hotī hai to bistar pe rakhā terā ḳhayāl
mere siine ke jazīre se lipaT jaatā hai
jaane vaale tū gayā kab hai
mire hāthoñ se
tere bosoñ kī abhī taaza mahak aatī hai
jaane wale to gaya kab hai
mere daman mein
tere KHush-dila dilason ka dhuan jagta hai
mere juton mein tere panw paDe hain ab tak
aaj bhi main unhen dho dho ke piya karta hun
teri KHushbu pe kabhi gard nahin jamne di
teri phenki hui baaton ko labon mein bhar kar
tere lahje ki shabahat mein
utar jaane ka
lutf wo jaane jise hijr mile
tere kaTe hue mausam se koi dhajji agar
hath aae to zaKHira use kar leta hun
teri utran se uThata hun nai dhaj ka jawaz
tere dekhe hue KHwabon pe mujhe nind aae
mere aaine mein raushan hai abhi tera wajud
raat hoti hai to bistar pe rakha tera KHayal
mere sine ke jazire se lipaT jata hai
jaane wale tu gaya kab hai
mere hathon se
tere boson ki abhi taza mahak aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.