bichhDe ghar ka saya
sub.h-savere
vo bistar se saa.e jaisī uThtī hai
phir chūlhe meñ raat kī ThanDī aag ko
raushan kartī hai
itne meñ din chaḌh jaatā hai
jaldī jaldī chaa.e banā kar shauhar ko ruḳhsat kartī hai
sayyāre gardish karte haiñ
shahr meñ sahrā sahrāoñ meñ chaTyal maidāñ
kohsāroñ ke nasheb-o-farāz banā karte haiñ
saare ghar ko dhotī hai
kapḌe tauliye tōth-brush bistar kī chādar
koī kitāb uThātī hai rakh detī hai
radio on kiyā phir rokā on kiyā
phir koī purānā ḳhat paḌhtī hai
(ghanTī bajī)
''maryam! aa jāo''
''tum kaisī ho? vo kaise haiñ''
''kyā us kā koī ḳhat āyā?''
(thoḌī ḳhāmoshī kā vaqfa)
''tum kaisī ho''
''tum se matlab? sach kah duuñ to kyā kar logī''
dekho sab kī sab baiThī hoñ
''achchhā''
''achchhā''
(darvāza phir band ho gayā)
''ab kyā karnā!
ghar to bilkul saaf paḌā hai
koī shikan bistar pe nahīñ hai
dīvār-o-dar dhule-dhulā.e
koī dhabba yā makḌī kā jaalā tinkā
kahīñ kuchh nahīñ
kyā karnā hai!
uf! vo calendar
kitne baras ho ga.e phir bhī
aa.eñ to un se kahtī huuñ
bilkul nayā calendar laa.eñ
kuchh bhuuk nahīñ
ab kyā karnā hai
leT rahūñ? lekin kyā leTūñ
jaane kitnā leT chukī huuñ
khaḌī rahūñ
haañ khaḌī rahūñ
par maiñ to kab se khaḌī huī huuñ
khiḌkī kā parda hī kholūñ
dhuup kahāñ tak aa pahuñchī hai
laao apnā album dekhūñ
nayyar shabnam shafaq subūhī aḳhtar juuhī
kaise hoñge
aañ! ye maiñ huuñ
ittī pyārī pyārī thī maiñ
maiñ bilkul hī bhuul ga.ī thī
sab kitnā achchhā lagtā thā
abbā, ammāñ, bhayyā, appī
sab zinda the
saaya naanī gulshan aapā
haañ aur vo gaurayyā baabā
aañsū naġhme shor Thahāke saare ik sur meñ hote the
saarī duniyā ghar lagtī thī
amaañ udhar bulāyā kartīñ
abbā udhar pukārā karte
bhayyā DāñTte
appī Dheroñ pyaar jatātīñ
khānā, pīnā, sonā, jāgnā, hañsnā, rūThnā, manñā
Dor bañdhī thī
ek meñ ek piroyā huā thā
kal nammū ke ghar shādī hai
paas hī koī maut huī hai
college kī chhaTī kab hogī
iid phir ab kī tiis kī hogī
ham bhī lail-e-qadr jāgeñge
shahlā kī mañgnī kyuuñ TūTī?
kyā iqbāl koī shā.er thaa?
chup baḌke abbā sun leñge
saa.e dauḌ rahe haiñ ghar meñ
har goshe meñ uupar nīche andar bāhar dauḌ rahe haiñ
lambe chhoTe sabz o zard hazāroñ saa.e
bāhar shahr meñ koī nahīñ hai
dhuup siyah paḌtī jaatī hai
qadd-e-ādam ā.īne meñ
us kā nañgā jism khaḌā hai
jism ke andar sūraj kā ġhuncha mahkā hai
sayyāre gardish karte haiñ
sab anjāne sayyāroñ meñ bhūle-bisre ghar raushan haiñ
kis lamhe kā hai ye tamāsha
hast-o-būd ke sannāTe meñ
lā-maujūd kī tārīkī meñ
sirf yahī ā.īna raushan
sirf ik aks-e-guzishta raushan
bichhḌe ghar kā saaya raushan
subh-sawere
wo bistar se sae jaisi uThti hai
phir chulhe mein raat ki ThanDi aag ko
raushan karti hai
itne mein din chaDh jata hai
jaldi jaldi chae bana kar shauhar ko ruKHsat karti hai
sayyare gardish karte hain
shahr mein sahra sahraon mein chaTyal maidan
kohsaron ke nasheb-o-faraaz bana karte hain
sare ghar ko dhoti hai
kapDe tauliye tooth-brush bistar ki chadar
koi kitab uThati hai rakh deti hai
radio on kiya phir roka on kiya
phir koi purana KHat paDhti hai
(ghanTi baji)
maryam! aa jao
tum kaisi ho? wo kaise hain
kya us ka koi KHat aaya?
(thoDi KHamoshi ka waqfa)
tum kaisi ho
tum se matlab? sach kah dun to kya kar logi
dekho sab ki sab baiThi hon
achchha
achchha
(darwaza phir band ho gaya)
ab kya karna!
ghar to bilkul saf paDa hai
koi shikan bistar pe nahin hai
diwar-o-dar dhule-dhulae
koi dhabba ya makDi ka jala tinka
kahin kuchh nahin
kya karna hai!
uf! wo calendar
kitne baras ho gae phir bhi
aaen to un se kahti hun
bilkul naya calendar laen
kuchh bhuk nahin
ab kya karna hai
leT rahun? lekin kya leTun
jaane kitna leT chuki hun
khaDi rahun
han khaDi rahun
par main to kab se khaDi hui hun
khiDki ka parda hi kholun
dhup kahan tak aa pahunchi hai
lao apna album dekhun
nayyar shabnam shafaq subuhi aKHtar juhi
kaise honge
aan! ye main hun
itti pyari pyari thi main
main bilkul hi bhul gai thi
sab kitna achchha lagta tha
abba, amman, bhayya, appi
sab zinda the
saya nani gulshan aapa
han aur wo gaurayya baba
aansu naghme shor Thahake sare ek sur mein hote the
sari duniya ghar lagti thi
aman udhar bulaya kartin
abba udhar pukara karte
bhayya DanTte
appi Dheron pyar jatatin
khana, pina, sona, jagna, hansna, ruThna, manna
Dor bandhi thi
ek mein ek piroya hua tha
kal nammu ke ghar shadi hai
pas hi koi maut hui hai
college ki chhaTi kab hogi
id phir ab ki tis ki hogi
hum bhi lail-e-qadr jagenge
shahla ki mangni kyun TuTi?
kya iqbaal koi shaer tha?
chup baDke abba sun lenge
sae dauD rahe hain ghar mein
har goshe mein upar niche andar bahar dauD rahe hain
lambe chhoTe sabz o zard hazaron sae
bahar shahr mein koi nahin hai
dhup siyah paDti jati hai
qadd-e-adam aaine mein
us ka nanga jism khaDa hai
jism ke andar suraj ka ghuncha mahka hai
sayyare gardish karte hain
sab anjaane sayyaron mein bhule-bisre ghar raushan hain
kis lamhe ka hai ye tamasha
hast-o-bud ke sannaTe mein
la-maujud ki tariki mein
sirf yahi aaina raushan
sirf ek aks-e-guzishta raushan
bichhDe ghar ka saya raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.