bigDa TV
mire nazdīk ke ghar meñ hai ik T-V ajab aayā
use jaane kahāñ se merā ham-sāya uThā laayā
shab-e-avval hī zālim ne kuchh aisā sehr farmāyā
ki jis ne bhī use dekhā vahī ghabrā ke chillāyā
yahāñ ik pal na Thahro bhāgne meñ āfiyat jaano
jo dekhoge to miT jāoge ai ġhāfil musalmāno
ye apnī cabinet jitnī bhī hai rangīn rakhtā hai
ba-īñ ḳhūbī dil-e-yārāñ ko pur-taskīn rakhtā hai
haTā leñ iiñT to Tāñgeñ ye sāḌhe tiin rakhtā hai
ye vo T-V hai jo tiis inch kī scrēn rakhtā hai
hai chhat par antenna lekin nahīñ hai koī kaam us kā
hai garche charḳh-e-nīlī-fām se aage maqām us kā
kisī māhir se is kī hashr-sāmānī nahīñ jaatī
koī bhī ramz is kam-baḳht kī jaanī nahīñ jaatī
ba-sad koshish bhī dhabboñ kī farāvānī nahīñ jaatī
jabhī to shakl koī mujh se pahchānī nahīñ jaatī
judā merī qayās-ārā.ī se har ahl-e-fan niklā
maiñ jis ko reshmāñ samajhtā thā vo mehdī-hasan niklā
machine us kī karishme nit-na.e ham ko dikhātī hai
nirāle gul khilātī hai ajab jaadū jagātī hai
ye daurān-e-amal kuchh aisā chakkar bhī chalātī hai
sadā pinDī se aur tasvīr amritsar se aatī hai
udhar ik shaḳhs kī taqrīr kā elaan hotā hai
idhar T-V pe lekin raqs kā sāmān hotā hai
mire vo dost ab shām-o-sahar ġhamgīn rahte haiñ
uThā kar sar pe T-V dard ke dariyā meñ bahte haiñ
vo che-mī-goīyāñ ik ek ham-sā.e kī sahte haiñ
ruḳh-e-barham ke aage T-V rakh kar ab ye kahte haiñ
ki is T-V se to mahrūmī-e-T.v hī behtar hai
takalluf bartaraf is se mirī biivī hī behtar hai
mere nazdik ke ghar mein hai ek T-V ajab aaya
use jaane kahan se mera ham-saya uTha laya
shab-e-awwal hi zalim ne kuchh aisa sehr farmaya
ki jis ne bhi use dekha wahi ghabra ke chillaya
yahan ek pal na Thahro bhagne mein aafiyat jaano
jo dekhoge to miT jaoge ai ghafil musalmano
ye apni cabinet jitni bhi hai rangin rakhta hai
ba-in KHubi dil-e-yaran ko pur-taskin rakhta hai
haTa len inT to Tangen ye saDhe tin rakhta hai
ye wo T-V hai jo tis inch ki screen rakhta hai
hai chhat par antenna lekin nahin hai koi kaam us ka
hai garche charKH-e-nili-fam se aage maqam us ka
kisi mahir se is ki hashr-samani nahin jati
koi bhi ramz is kam-baKHt ki jaani nahin jati
ba-sad koshish bhi dhabbon ki farawani nahin jati
jabhi to shakl koi mujh se pahchani nahin jati
juda meri qayas-arai se har ahl-e-fan nikla
main jis ko reshman samajhta tha wo mehdi-hasan nikla
machine us ki karishme nit-nae hum ko dikhati hai
nirale gul khilati hai ajab jadu jagati hai
ye dauran-e-amal kuchh aisa chakkar bhi chalati hai
sada pinDi se aur taswir amritsar se aati hai
udhar ek shaKHs ki taqrir ka elan hota hai
idhar T-V pe lekin raqs ka saman hota hai
mere wo dost ab sham-o-sahar ghamgin rahte hain
uTha kar sar pe T-V dard ke dariya mein bahte hain
wo che-mi-goiyan ek ek ham-sae ki sahte hain
ruKH-e-barham ke aage T-V rakh kar ab ye kahte hain
ki is T-V se to mahrumi-e-Tw hi behtar hai
takalluf bartaraf is se meri biwi hi behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.