bi meinDki
bādal uThā aur chhā gayā
sāvan kā meñh barsā gayā
jañgal meñ jal-thal ho gayā
nahroñ meñ paanī aa gayā
aur aa ga.iiñ bī meñDkī
bachchoñ ne jab dekhā unheñ
sabze pe lapke gher kar
bī meñDkī ne jis ghaḌī
dekhā unheñ muñh pher kar
ghabrā ga.iiñ bī meñDkī
bhāgīñ kabhī uchhlīñ kabhī
dauḌīñ kabhī uchkīñ kabhī
lapkīñ kabhī kūdīñ kabhī
phāñdīñ kabhī phudkīñ kabhī
tañg aa ga.iiñ bī meñDkī
sabze ke andar chhup rahīñ
jab thak ga.iiñ uktā ga.iiñ
bachchoñ ke hāthoñ se magar
jātīñ kahāñ haath aa ga.iiñ
haath aa ga.iiñ bī meñDkī
murda banī thiiñ makr se
bachche ye samjhe mar ga.iiñ
tañg aa ke un ke zulm se
duniyā se rehlat kar ga.iiñ
kaam aa ga.iiñ bī meñDkī
pheñkā pakaḌ kar ek ne
bī meñDkī ko nahr meñ
bī meñDkī ne aap ko
bahtā jo paayā lahar meñ
lahrā ga.iiñ bī meñDkī
pyāsī jo thiiñ kuchh der se
seroñ hī paanī pī ga.iiñ
phir lapkīñ ḳhushkī kī taraf
bachchoñ ne dekhā jī ga.iiñ
aur aa ga.iiñ bī meñDkī
chupke se ik laḌkā baḌhā
aur haath maarā zor se
bī meñDkī kā sar lagā
patthar kī chubhtī kor se
murjhā ga.iiñ bī meñDkī
bī meñDkī meñ dam na thā
dekhā jo muTThī khol kar
bachchoñ ne chillā kar kahā
lo ab ke to sach-much safar
farmā ga.iiñ bī meñDkī
baadal uTha aur chha gaya
sawan ka meinh barsa gaya
jangal mein jal-thal ho gaya
nahron mein pani aa gaya
aur aa gain bi meinDki
bachchon ne jab dekha unhen
sabze pe lapke gher kar
bi meinDki ne jis ghaDi
dekha unhen munh pher kar
ghabra gain bi meinDki
bhagin kabhi uchhlin kabhi
dauDin kabhi uchkin kabhi
lapkin kabhi kudin kabhi
phandin kabhi phudkin kabhi
tang aa gain bi meinDki
sabze ke andar chhup rahin
jab thak gain ukta gain
bachchon ke hathon se magar
jatin kahan hath aa gain
hath aa gain bi meinDki
murda bani thin makr se
bachche ye samjhe mar gain
tang aa ke un ke zulm se
duniya se rehlat kar gain
kaam aa gain bi meinDki
phenka pakaD kar ek ne
bi meinDki ko nahr mein
bi meinDki ne aap ko
bahta jo paya lahar mein
lahra gain bi meinDki
pyasi jo thin kuchh der se
seron hi pani pi gain
phir lapkin KHushki ki taraf
bachchon ne dekha ji gain
aur aa gain bi meinDki
chupke se ek laDka baDha
aur hath mara zor se
bi meinDki ka sar laga
patthar ki chubhti kor se
murjha gain bi meinDki
bi meinDki mein dam na tha
dekha jo muTThi khol kar
bachchon ne chilla kar kaha
lo ab ke to sach-much safar
farma gain bi meinDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.