bich bhanwar se lauT aaunga
pāgal samjhā hai kyā mujh ko
Duub marūñ maiñ
aur sab is manzar se apnā dil bahlā.eñ
bachchoñ ko kāñdhoñ par le kar
uchak uchak kar mujh ko dekheñ
hañsī uḌā.eñ
laakh mirī apnī vaj.heñ hoñ jaañ dene kī
lekin phir bhī
dil meñ mere bhī hai vo be-ma.anī ḳhvāhish
jaate jaate sab kī āñkheñ nam karne kī
merī samajh se
itnā haq to hai
jaañ dene vaale kā duniyā vāloñ par
shirkat kar leñ
vo is pal meñ thoḌā sā sanjīda ho kar
jaañ dene aayā huuñ lekin
ye batlā duuñ
jaan laḌā dūñgā maiñ jaan bachāne meñ gar
ek tamāshā dekhne vaale ko bhī hañstā dekhā ḳhud par
lauT ā.ūñgā
keh detā huuñ
aisā kuchh bhī agar huā to
biich bhañvar se lauT ā.ūñgā
pagal samjha hai kya mujh ko
Dub marun main
aur sab is manzar se apna dil bahlaen
bachchon ko kandhon par le kar
uchak uchak kar mujh ko dekhen
hansi uDaen
lakh meri apni wajhen hon jaan dene ki
lekin phir bhi
dil mein mere bhi hai wo be-mani KHwahish
jate jate sab ki aankhen nam karne ki
meri samajh se
itna haq to hai
jaan dene wale ka duniya walon par
shirkat kar len
wo is pal mein thoDa sa sanjida ho kar
jaan dene aaya hun lekin
ye batla dun
jaan laDa dunga main jaan bachane mein gar
ek tamasha dekhne wale ko bhi hansta dekha KHud par
lauT aaunga
keh deta hun
aisa kuchh bhi agar hua to
bich bhanwar se lauT aaunga
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 146)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.