bich ki rah
sab se achchhī biich kī raah
ḳhuub nirālī biich kī raah
biich kā hai har kaam achchhā
biich kā hai anjām achchhā
biich kī har dam raah chalo
phūlo phalo farḳhanda raho
aisā koī kaam na ho
jis meñ kuchh ārām na ho
jis ko aisī aadat hai
har dam us ko rāhat hai
khāne meñ bhī biich kī raah
sone meñ bhī biich kī raah
dāvat ho yā ghar par ho
bhuuk se thoḌā kam khaao
itnā kam bhī mat khaao
duble ho kar pachhtāo
thoḌā kaam ho achchhā ho
varna sarāsar ghāTā ho
ḳhair kā pahlū hai is meñ
ḳhair kī ḳhushbū hai is meñ
'shauq' ye achchhā nusḳha hai
kitnā sastā nusḳha hai
sab se achchhi bich ki rah
KHub nirali bich ki rah
bich ka hai har kaam achchha
bich ka hai anjam achchha
bich ki har dam rah chalo
phulo phalo farKHanda raho
aisa koi kaam na ho
jis mein kuchh aaram na ho
jis ko aisi aadat hai
har dam us ko rahat hai
khane mein bhi bich ki rah
sone mein bhi bich ki rah
dawat ho ya ghar par ho
bhuk se thoDa kam khao
itna kam bhi mat khao
duble ho kar pachhtao
thoDa kaam ho achchha ho
warna sarasar ghaTa ho
KHair ka pahlu hai is mein
KHair ki KHushbu hai is mein
'shauq' ye achchha nusKHa hai
kitna sasta nusKHa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.