bij andar hai
biij andar hai
lekin maiñ bāhar huuñ
apnī zamīñ se
faqat musht do musht uupar
ḳhalā meñ ugā huuñ
mirī koī jaḌ hī nahīñ hai
nahīñ ilm
tālīf kī raushnī ne
havā aur paanī ne kis tarah sīñchā
namī kaise mere masāmoñ meñ aa.ī
judā.ī
sahī maiñ ne kaise
muqarrar jo azaloñ se thā
biich kā fāsla
vast nā vast kā marhala
maiñ ne kaise gavārā kiyā
āsmāñ ke tale
maiñ ne dhartī pe phaile hue
ek soñdhī sī ḳhushbū meñ lipTe hue
lahlahāte jahānoñ kā
ḳhushk aur banjar zamānoñ kā
kaise nazāra kiyā
chand kāñToñ kī suuī se
kaunain ke
apne qutbain ke
pech-o-ḳham meñ
vajūd-o-adam meñ
jalī aur ḳhafī saare ab.aad kī samt
kaise ishāra kiyā
maiñ ne kaise ba-yak vaqt
apnī fanā aur baqā se kināra kiyā
biij andar hai
kaise samajh pā.egā
be-numū o numū-kār duniyā meñ
mujh jaise paude ne
kaise guzārā kiyā
bij andar hai
lekin main bahar hun
apni zamin se
faqat musht do musht upar
KHala mein uga hun
meri koi jaD hi nahin hai
nahin ilm
talif ki raushni ne
hawa aur pani ne kis tarah sincha
nami kaise mere masamon mein aai
judai
sahi main ne kaise
muqarrar jo azalon se tha
bich ka fasla
wast na wast ka marhala
main ne kaise gawara kiya
aasman ke tale
main ne dharti pe phaile hue
ek sondhi si KHushbu mein lipTe hue
lahlahate jahanon ka
KHushk aur banjar zamanon ka
kaise nazara kiya
chand kanTon ki sui se
kaunain ke
apne qutbain ke
pech-o-KHam mein
wajud-o-adam mein
jali aur KHafi sare abaad ki samt
kaise ishaara kiya
main ne kaise ba-yak waqt
apni fana aur baqa se kinara kiya
bij andar hai
kaise samajh paega
be-numu o numu-kar duniya mein
mujh jaise paude ne
kaise guzara kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.