bimar guDiya
ki shāyad ḳhizāñ chhū ga.ī use
aaj ḳhāmosh hai
chal ke dekheñ kahīñ
aaj phir zer-e-dil
ek ma.asūm ḳhvāhish kī shiddat
phir kisī adh-jale ḳhvāb kī justujū to nahīñ
titliyāñ sabz-o-nīlī
sar-phire raqs-o-bū ke jahāñ se
kitnī mānūs-o-sarshār haiñ
aur maiñ apne achchhe ḳhudā se
kitnī bezār huuñ
thak ga.ī huuñ
chāñd tāroñ ko chhūne kī ḳhvāhish
choTiyoñ tak pahuñchne kī ḳhvāhish
ek be-naġhma be-sāz vus.at
dil dhaḌakne se bhī hichkichā.e
sūrat-e-dūd sā ye gurezāñ
niilī tārīkiyoñ se shagufta
qahqahe mārtī maiñ jo niklī
mere ḳhvāboñ ke bedār chehre
saare sāhil pe nauha-ḳhvāñ haiñ
ki shayad KHizan chhu gai use
aaj KHamosh hai
chal ke dekhen kahin
aaj phir zer-e-dil
ek masum KHwahish ki shiddat
phir kisi adh-jale KHwab ki justuju to nahin
titliyan sabz-o-nili
sar-phire raqs-o-bu ke jahan se
kitni manus-o-sarshaar hain
aur main apne achchhe KHuda se
kitni bezar hun
thak gai hun
chand taron ko chhune ki KHwahish
choTiyon tak pahunchne ki KHwahish
ek be-naghma be-saz wusat
dil dhaDakne se bhi hichkichae
surat-e-dud sa ye gurezan
nili tarikiyon se shagufta
qahqahe marti main jo nikli
mere KHwabon ke bedar chehre
sare sahil pe nauha-KHwan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.