rahm-e-mādar se nikalnā mirā be-sūd huā
aaj bhī qaid huuñ maiñ
hukm-e-mādar ko maiñ tabdīl karūñ
maañ kī nafrat bharī āñkhoñ se kahīñ duur chalā jā.ūñ maiñ
be-niyāzī se phirūñ
paap ke kāñTe chun kar
ruuh nāpāk karūñ
giit shahvat ke havas ke sun kar
zehn be-bāk karūñ
aise jīvan kī hai hasrat ab tak
pyaar... sab kahte haiñ vo pyaar mujhe kartī hai
pyaar kī raakh tale soyā paḌā huuñ kab se
jhuuT kahte haiñ maiñ bezār huā huuñ sab se
phir lapak uTThegā vo sho.ala, pur-ummīd huuñ maiñ
pyaar kī raakh tale dab ke hai jo duud huā
rahm-e-madar se nikalna mera be-sud hua
aaj bhi qaid hun main
hukm-e-madar ko main tabdil karun
man ki nafrat bhari aankhon se kahin dur chala jaun main
be-niyazi se phirun
pap ke kanTe chun kar
ruh napak karun
git shahwat ke hawas ke sun kar
zehn be-bak karun
aise jiwan ki hai hasrat ab tak
pyar sab kahte hain wo pyar mujhe karti hai
pyar ki rakh tale soya paDa hun kab se
jhuT kahte hain main bezar hua hun sab se
phir lapak uTThega wo shoala, pur-ummid hun main
pyar ki rakh tale dab ke hai jo dud hua
- Book : tanhaa.ii (Pg. 229)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.