bimar laDki
shaam kī gungunātī havāo
mujhe saath apne uḌāte hue le chalo
vo jahāñ ūñche ūñche daraḳhtoñ kī
ġhamnāk sī chhāñv hai
chāñd tāroñ ke rastoñ se aage mirā gaañv hai
merā ghar suunā ghar apne baazū baḌhā.e
mirā rāsta tak rahā hai
koī ajnabī sī sadā mere kānoñ meñ aatī hai
mujh ko bulātī hai jaane kahāñ
ūñche ūñche daraḳhtoñ kī ġhamnāk sī chhāñv hai
mere sirhāne kā thā nanhā munnā darīcha ka.ī baar khultā rahā
jagmagātī huī raushnī aa.ī mausam badaltā rahā
chāñdnī raat meñ phuul khilte magar maiñ ne dekhe nahīñ
dil meñ sahmī huī ḳhvāhishoñ ke
kabhī hoñT hilte magar maiñ ne dekhe nahīñ
maiñ ne jab Darte Darte kabhī aañkh kholī
mire chāroñ jānib dhuñdalkā sā thā
maiñ ne chupke se jab bhī kabhī saañs lī
merī rag rag meñ simTā huā merā dukh kam nahīñ ho sakā
maiñ ne niile ḳhalāoñ meñ uḌte hue panchhiyoñ ko sadā dī
magar merā koī na thā
aaj bhī merā koī nahīñ
Doltī saañs aa.egī albelī dulhan kī tarah lajātī
ye phuul aur ḳhushbū mire rāste ke haiñ sāthī
sitāre haiñ rote hue nanhe munne barātī
mire vāste ab judā.ī kī fariyād kā giit gaao
havāo
sham ki gungunati hawao
mujhe sath apne uDate hue le chalo
wo jahan unche unche daraKHton ki
ghamnak si chhanw hai
chand taron ke raston se aage mera ganw hai
mera ghar suna ghar apne bazu baDhae
mera rasta tak raha hai
koi ajnabi si sada mere kanon mein aati hai
mujh ko bulati hai jaane kahan
unche unche daraKHton ki ghamnak si chhanw hai
mere sirhane ka tha nanha munna daricha kai bar khulta raha
jagmagati hui raushni aai mausam badalta raha
chandni raat mein phul khilte magar main ne dekhe nahin
dil mein sahmi hui KHwahishon ke
kabhi honT hilte magar main ne dekhe nahin
main ne jab Darte Darte kabhi aankh kholi
mere chaaron jaanib dhundalka sa tha
main ne chupke se jab bhi kabhi sans li
meri rag rag mein simTa hua mera dukh kam nahin ho saka
main ne nile KHalaon mein uDte hue panchhiyon ko sada di
magar mera koi na tha
aaj bhi mera koi nahin
Dolti sans aaegi albeli dulhan ki tarah lajati
ye phul aur KHushbu mere raste ke hain sathi
sitare hain rote hue nanhe munne baraati
mere waste ab judai ki fariyaad ka git gao
hawao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.