bite hue din
barsāt kī bahāro mujh ko na ab satāo
jo ḳhud hī miT rahā hai us ko na tum miTāo
ai mausam-e-nigārāñ ai abr-e-nau-bahārāñ
aise meñ yaad un kī mujh ko na tum dilāo
bichhḌe hue kisī se muddat guzar chukī hai
maazī ke hādsoñ ke qisse na tum sunāo
biite hue dinoñ kī yādeñ bhulā chukī huuñ
biite hue dinoñ ko phir sāmne na laao
dil meñ machal machal kar māyūs ho chukī haiñ
in hasratoñ ko aa kar tum phir na ab jagāo
ab jaam hai na saaqī ik tishnagī hai baaqī
tum bazm meñ na aao ghir ghir ke ai ghaTāo
'nāshād' zindagī se bezār ho rahī hai
ai nit na.ī bahāro kaliyoñ ko gudgudāo
barsat ki bahaaro mujh ko na ab satao
jo KHud hi miT raha hai us ko na tum miTao
ai mausam-e-nigaran ai abr-e-nau-bahaaran
aise mein yaad un ki mujh ko na tum dilao
bichhDe hue kisi se muddat guzar chuki hai
mazi ke hadson ke qisse na tum sunao
bite hue dinon ki yaaden bhula chuki hun
bite hue dinon ko phir samne na lao
dil mein machal machal kar mayus ho chuki hain
in hasraton ko aa kar tum phir na ab jagao
ab jam hai na saqi ek tishnagi hai baqi
tum bazm mein na aao ghir ghir ke ai ghaTao
'nashad' zindagi se bezar ho rahi hai
ai nit nai bahaaro kaliyon ko gudgudao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.