bite hue kal ka intizar
bādaloñ kī tarah kyuuñ
chhā gayā hai dil par ġham
vo kaun thā jo aayā aur chalā gayā
apnī yaad kī tarah
qadam ke hasīñ nishāñ
chhoḌ kar gayā jinheñ
havāoñ ne miTā diyā
aur ġhubār sā uḌā diyā
pattharoñ kī tarah
rāste ḳhamosh haiñ
rāstoñ se kyā kahīñ
fāsle haiñ darmiyāñ
jo vaqt kī tarah chalā gayā
vo lauT kar na aa.egā
shaam kyuuñ udaas hai
aañkh kyuuñ huī hai nam
baadalon ki tarah kyun
chha gaya hai dil par gham
wo kaun tha jo aaya aur chala gaya
apni yaad ki tarah
qadam ke hasin nishan
chhoD kar gaya jinhen
hawaon ne miTa diya
aur ghubar sa uDa diya
pattharon ki tarah
raste KHamosh hain
raston se kya kahin
fasle hain darmiyan
jo waqt ki tarah chala gaya
wo lauT kar na aaega
sham kyun udas hai
aankh kyun hui hai nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.