bikhre sapne
ākāsh pe diip sitāroñ ke
dhartī par phuul bahāroñ ke
sabze par shabnam ke motī
sāvan kī havā ThanDī ThanDī
ye mere bikhre sapne haiñ
lahrāte hue bahte chashme
chashmoñ ke nashāt-āgīñ naġhme
kohsār ke rangīñ shām-o-sahar
jangal ke hasīñ dilkash manzar
ye mere bikhre sapne haiñ
bijlī kī kaḌak bādal kī garaj
ḳhūñ-bār shafaq Dhaltā sūraj
mahtāb meñ niiñd javānī kī
aur ḳhushbū raat kī raanī kī
ye mere bikhre sapne haiñ
dariyā sāhil kashtī langar
hiire motī kankar patthar
pariyoñ ke mahal indar kī sabhā
tīkhī chitvan bāñkā chehrā
ye mere bikhre sapne haiñ
nazmeñ ġhazleñ aaheñ naġhme
ḳhūn-e-jigar kuchh dal ke TukḌe
bhūlī-bisrī biitī bāteñ
ġham kī anokhī sī sauġhāteñ
ye mere bikhre sapne haiñ
aakash pe dip sitaron ke
dharti par phul bahaaron ke
sabze par shabnam ke moti
sawan ki hawa ThanDi ThanDi
ye mere bikhre sapne hain
lahraate hue bahte chashme
chashmon ke nashat-agin naghme
kohsar ke rangin sham-o-sahar
jangal ke hasin dilkash manzar
ye mere bikhre sapne hain
bijli ki kaDak baadal ki garaj
KHun-bar shafaq Dhalta suraj
mahtab mein nind jawani ki
aur KHushbu raat ki rani ki
ye mere bikhre sapne hain
dariya sahil kashti langar
hire moti kankar patthar
pariyon ke mahal indar ki sabha
tikhi chitwan banka chehra
ye mere bikhre sapne hain
nazmen ghazlen aahen naghme
KHun-e-jigar kuchh dal ke TukDe
bhuli-bisri biti baaten
gham ki anokhi si saughaten
ye mere bikhre sapne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.