bil-jabr
har taraf katraneñ haiñ
vo guḌiyā yahīñ thī magar ab dikhā.ī nahīñ de rahī
aur ye dhāge, yaqīnan vo gesū haiñ jin ke liye merī rāteñ kaTīñ
ruuī dhunkī huī hai
kahīñ ḳhuun kā koī dhabba nahīñ
ik taraf us kī poshāk udhḌī paḌī hai
udhar us kī āñkheñ, kaTe abrūoñ se alag,
ḳhauf-o-dahshat meñ luthḌī huī
har taraf katraneñ haiñ
badan resha resha hai
nīche kā dhaḌ chiil kavve uThā le ga.e
laboñ kā lahū jam gayā hai
(lahū jo yaqīnan kisī aur kā hai)
gale par kisī gurg ke daañt khīñche hue haiñ
vo guḌiyā nahīñ hai magar har taraf katraneñ haiñ
maiñ ā.inda guḌiyā kī ḳhātir kapās aur dhāge nahīñ lā.ūñgā
katraneñ le ke apnī kisī aur jānib nikal jā.ūñgā
har taraf katranen hain
wo guDiya yahin thi magar ab dikhai nahin de rahi
aur ye dhage, yaqinan wo gesu hain jin ke liye meri raaten kaTin
rui dhunki hui hai
kahin KHun ka koi dhabba nahin
ek taraf us ki poshak udhDi paDi hai
udhar us ki aankhen, kaTe abruon se alag,
KHauf-o-dahshat mein luthDi hui
har taraf katranen hain
badan resha resha hai
niche ka dhaD chil kawwe uTha le gae
labon ka lahu jam gaya hai
(lahu jo yaqinan kisi aur ka hai)
gale par kisi gurg ke dant khinche hue hain
wo guDiya nahin hai magar har taraf katranen hain
main aainda guDiya ki KHatir kapas aur dhage nahin launga
katranen le ke apni kisi aur jaanib nikal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.