billi aai
billī aa.ī billī aa.ī
īrān se sīdhe dillī aa.ī
naam thā us kā māh-bāno
bachche kahte us ko maano
dikhtī thī vo sher kī ḳhāla
haath se chhuo to ruuī kā gaalā
āñkheñ niilī baal sunahre
maano ke the chhakke panje
chikan kalejī mutton qiima
us se pahle duudh bhī piinā
laaD meñ vo to ḳhuub hī bigḌī
baiThe baiThe sharārat sūjhī
sab bachchoñ kī pyārī maano
daraḳht pe chaḌh ke baiThī maano
nīche dekhā chakkar aayā
myā.un myā.un shor machāyā
aasif dauḌe vāsif dauḌe
niilo dauḌī sābir dauḌe
ammī dauḌīñ paapā dauḌe
pīchhe se maalī kaakā dauḌe
jitne muñh utnī bāteñ
maano ko ab kaise utāreñ
maano ko ab kaise utāreñ
maalī kaakā laghghī laa.e
aasif vāsif kursī laa.e
maano sāhibā nīche aa.iiñ
ḳhar ḳhar kī zarā na pachhtā.īñ
ye billī hai ki shaitān kī ḳhāla
kyuuñ kahte haiñ sher kī ḳhāla
phir bhī lagtī pyārī maano
sab bachchoñ kī dulārī maano
billi aai billi aai
iran se sidhe dilli aai
nam tha us ka mah-bano
bachche kahte us ko mano
dikhti thi wo sher ki KHala
hath se chhuo to rui ka gala
aankhen nili baal sunahre
mano ke the chhakke panje
chikan kaleji mutton qima
us se pahle dudh bhi pina
laD mein wo to KHub hi bigDi
baiThe baiThe shararat sujhi
sab bachchon ki pyari mano
daraKHt pe chaDh ke baiThi mano
niche dekha chakkar aaya
myaun myaun shor machaya
aasif dauDe wasif dauDe
nilo dauDi sabir dauDe
ammi dauDin papa dauDe
pichhe se mali kaka dauDe
jitne munh utni baaten
mano ko ab kaise utaren
mano ko ab kaise utaren
mali kaka laghghi lae
aasif wasif kursi lae
mano sahiba niche aain
KHar KHar ki zara na pachhtain
ye billi hai ki shaitan ki KHala
kyun kahte hain sher ki KHala
phir bhi lagti pyari mano
sab bachchon ki dulari mano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.