billi-dan
chūhoñ ne ek roz bulāyā billī ko mehmān
aur dikhā.ī lakḌī kī ik building ālī-shān
billī thī hairān
phir ik chuhā us se bolā kahiye ḳhāla-jān
duudh malā.ī khā.eñgī yā phal sabzī aur naan
baa'd meñ chaa.e paan
donoñ bāteñ karte jaise hī building meñ pahuñche
dūsre chūhe ne darvāza band kiyā bāhar se
hosh uḌe billī ke
billī ne ghabrā kar darvāze kī jānib dekhā
andar vaalā chuhā bhī phurtī se bāhar niklā
ḳhushī meñ kuudā uchhlā
pahle to ġhurrā.ī billī phir samjhī nādān
lālach kā anjām yahī hai ḳhatre meñ hai jaan
ye hai billī-dān
chuhon ne ek roz bulaya billi ko mehman
aur dikhai lakDi ki ek building aali-shan
billi thi hairan
phir ek chuha us se bola kahiye KHala-jaan
dudh malai khaengi ya phal sabzi aur nan
ba'd mein chae pan
donon baaten karte jaise hi building mein pahunche
dusre chuhe ne darwaza band kiya bahar se
hosh uDe billi ke
billi ne ghabra kar darwaze ki jaanib dekha
andar wala chuha bhi phurti se bahar nikla
KHushi mein kuda uchhla
pahle to ghurrai billi phir samjhi nadan
lalach ka anjam yahi hai KHatre mein hai jaan
ye hai billi-dan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.