billi
dabe paañv chaltī chalī aa.egī
kisī garm kone meñ chupke se baiThegī
bilaurī āñkheñ ghumātī rahegī
kabhī ek halkī jamāhī bhī legī
dekhte dekhte jism se uThne vaalī mahak
saare kamre meñ bhar jā.egī
dayār-e-ġharībāñ se aayā huā ik udheḌ umr chuhā
jo bas rizq kī bū ko pahchāntā hai
jo har vaqt bīmār har vaqt bezār chuhiyā se tañg aa chukā hai
use dekh legā to jī jā.egā
shauq-e-vāraftagī tarz-e-āmādgī
us ko billī ke nazdīk le jā.egā
lamha-e-qurb meñ
sā.at-e-vasl meñ
us hasīna ke nāḳhun nikal ā.eñge
us udheḌ umr chūhe se shoḳhī kareñge
use hāñptā-kāñptā adh-muā chhoḌ kar
phir se malbūs-e-maḳhmal meñ chhup jā.eñge
dabe panw chalti chali aaegi
kisi garm kone mein chupke se baiThegi
bilauri aankhen ghumati rahegi
kabhi ek halki jamahi bhi legi
dekhte dekhte jism se uThne wali mahak
sare kamre mein bhar jaegi
dayar-e-ghariban se aaya hua ek udheD umr chuha
jo bas rizq ki bu ko pahchanta hai
jo har waqt bimar har waqt bezar chuhiya se tang aa chuka hai
use dekh lega to ji jaega
shauq-e-waraftagi tarz-e-amadgi
us ko billi ke nazdik le jaega
lamha-e-qurb mein
saat-e-wasl mein
us hasina ke naKHun nikal aaenge
us udheD umr chuhe se shoKHi karenge
use hanpta-kanpta adh-mua chhoD kar
phir se malbus-e-maKHmal mein chhup jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.