1
shahr-e-jāñ
aaj vīrān hai
jaise gahrī siyah raat ho
dard kī tez āñdhī meñ saare diye bujh ga.e
har taraf tīrgī
ek jugnū bhī baaqī nahīñ
bas añdheroñ kī dīvār hai
yaas ke dasht meñ
nā-rasā.ī kī yalġhār hai
hasrat-o-ġham kī zanjīr hiltī hai jhankār hai
koī mūnis nahīñ
zindagī baar hai
2
sub.h-dam
yak-ba-yak
jaise jaadū nagar
saarā manzar badalne lagā
ek shīshe kā piñjra ki merī anā-gīr nazroñ ke mantar kī hiddat se
jaise pighalne lagā
phir chhanāke se TuuTā mire sāmne
ab to ehsās kī sab fasīloñ se bāhar
mirā asp-e-tāzī vafādār hai
aur murādoñ kā ik dilrubā qartaba sāmne mere tayyār hai
aaj maiñ hī sikandar huuñ aur
aaj mere hī dast-e-junūñ meñ chamaktī huī ek talvār hai
1
shahr-e-jaan
aaj viran hai
jaise gahri siyah raat ho
dard ki tez aandhi mein sare diye bujh gae
har taraf tirgi
ek jugnu bhi baqi nahin
bas andheron ki diwar hai
yas ke dasht mein
na-rasai ki yalghaar hai
hasrat-o-gham ki zanjir hilti hai jhankar hai
koi munis nahin
zindagi bar hai
2
subh-dam
yak-ba-yak
jaise jadu nagar
sara manzar badalne laga
ek shishe ka pinjra ki meri ana-gir nazron ke mantar ki hiddat se
jaise pighalne laga
phir chhanake se TuTa mere samne
ab to ehsas ki sab fasilon se bahar
mera asp-e-tazi wafadar hai
aur muradon ka ek dilruba qartaba samne mere tayyar hai
aaj main hi sikandar hun aur
aaj mere hi dast-e-junun mein chamakti hui ek talwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.