tumhārī maut
tumhārī maañ kī kokh se
tumhāre saath hī paidā huī thī
lekin tum ne haath thāmā zindagī kā
maut ko band kiyā kisī kāl-koTharī meñ
aur bhuul ga.e
itihās kī murda kitāboñ aur ḳhuun se sane lijlije aḳhbāroñ ko paḌhte vaqt
tum ne maut ko yaad kiyā
chaar aañsū bahā.e
magar tum Darpok the
tum maut ko gale na lagā sake
mere ḳhayāl se to tumheñ
ġhermany filistīn kashmīr hiroshima godhra aur syria meñ ek ek baar mar jaanā chāhiye thā
magar tum Darpok the
aur tum ab bhī Darpok kī tarah
chhat se kuud kar ek jhaTke meñ marnā chāhte ho
tum meñ nahīñ himmat
paTrī par leT kar train ke intizār kī
tum Darpok aur vāhiyāt ho
ki tum ne marne ke liye ishq jaisī be-hūda chiiz ko chunā
tumhaari maut
tumhaari man ki kokh se
tumhaare sath hi paida hui thi
lekin tum ne hath thama zindagi ka
maut ko band kiya kisi kal-koThari mein
aur bhul gae
itihas ki murda kitabon aur KHun se sane lijlije aKHbaron ko paDhte waqt
tum ne maut ko yaad kiya
chaar aansu bahae
magar tum Darpok the
tum maut ko gale na laga sake
mere KHayal se to tumhein
ghermany filistin kashmir hiroshima godhra aur syria mein ek ek bar mar jaana chahiye tha
magar tum Darpok the
aur tum ab bhi Darpok ki tarah
chhat se kud kar ek jhaTke mein marna chahte ho
tum mein nahin himmat
paTri par leT kar train ke intizar ki
tum Darpok aur wahiyat ho
ki tum ne marne ke liye ishq jaisi be-huda chiz ko chuna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.