bipta
sakhī rī biit ga.ī barsāt
sakhī rī biit ga.ī barsāt
ek sapan thī raam kahānī
rog bhagāne aa.ī javānī
haa.e ham ne kī man-mānī
jīvan paḌ gayā maat
sakhī rī biit ga.ī barsāt
kahāñ ga.iiñ vo prem kī ghāteñ
sīdhī sī par gahrī bāteñ
apne din aur apnī rāteñ
guzar ga.e na aa.e haat
sakhī rī biit ga.ī barsāt
sakhī rī biit ga.ī barsāt
jharnoñ meñ kūñjeñ haiñ nahā.eñ
bagule baiThe par khujlā.eñ
kis se pītam man bahlā.eñ
bhaḌak uThe jazbāt
sakhī rī biit ga.ī barsāt
ghar suunā hai paḌ ga.e jaale
ujḌī nagrī aan basā le
letī hai bīmār sañbhāle
maut ne bāñdhī ghaat
sakhī rī biit ga.ī barsāt
kaun hai prem kī baazī jiitā
ḳhatm huī hai man kī giitā
sukh ānand kā din hai biitā
chhā.ī dukh kī raat
sakhī rī biit ga.ī barsāt
sakhī rī biit ga.ī barsāt
sakhi ri bit gai barsat
sakhi ri bit gai barsat
ek sapan thi ram kahani
rog bhagane aai jawani
hae hum ne ki man-mani
jiwan paD gaya mat
sakhi ri bit gai barsat
kahan gain wo prem ki ghaten
sidhi si par gahri baaten
apne din aur apni raaten
guzar gae na aae hat
sakhi ri bit gai barsat
sakhi ri bit gai barsat
jharnon mein kunjen hain nahaen
bagule baiThe par khujlaen
kis se pitam man bahlaen
bhaDak uThe jazbaat
sakhi ri bit gai barsat
ghar suna hai paD gae jale
ujDi nagri aan basa le
leti hai bimar sanbhaale
maut ne bandhi ghat
sakhi ri bit gai barsat
kaun hai prem ki bazi jita
KHatm hui hai man ki gita
sukh aanand ka din hai bita
chhai dukh ki raat
sakhi ri bit gai barsat
sakhi ri bit gai barsat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.