bisat-e-KHun-chakan
ye pyāde piT chuke haiñ sab
tumhāre feel aur asp-e-yazīdī
ḳhāna-ba-ḳhāna pareshāñ
parda-ba-parda pashemāñ
lā-ba-lā jā-e-mafar kī rah meñ sargardāñ
bisāt-e-ḳhūñ-chakāñ par
ret kī dīvār niklā har bahādur
aur ab atrāf meñ shah ke
koī ḳhandaq hai aur
na koī dasta hai hifāzat kā
vazīr-e-mohtaram kā ḳhāna ḳhālī hai
bisāt-e-ḳhūñ-chakāñ par
har bahādur ghuTne Teke
apne ḳhāne meñ pareshāñ sar jhukā.e
haath siine se lagā.e
ālam-e-hairat se ik duuje ko taktā hai
tamāshā.ī khaḌe chup-chāp
patthar lab liye aur saañs roke
bāzī-e-shatranj par nazreñ jamā.e
mahv-e-manzar haiñ
ye manzar ḳhuub manzar hai ki jis meñ
nā-tavāñ hāthoñ ne zor-āvar kā nashsha
ek lamhe meñ utārā hai
ye pyāde piT chuke haiñ
aur tumhāre fiil aur asp-e-yazīdī
ab yahāñ sar-ba-garebāñ haiñ
vazīr-e-mohtaram kā ḳhāna ḳhālī hai
bisāt-e-ḳhūñ-chakāñ par
maat hone meñ
bas ik ḳhāne kī duurī hai
ye pyaade piT chuke hain sab
tumhaare feel aur asp-e-yazidi
KHana-ba-KHana pareshan
parda-ba-parda pasheman
la-ba-la ja-e-mafar ki rah mein sargardan
bisat-e-KHun-chakan par
ret ki diwar nikla har bahadur
aur ab atraf mein shah ke
koi KHandaq hai aur
na koi dasta hai hifazat ka
wazir-e-mohtaram ka KHana KHali hai
bisat-e-KHun-chakan par
har bahadur ghuTne Teke
apne KHane mein pareshan sar jhukae
hath sine se lagae
aalam-e-hairat se ek duje ko takta hai
tamashai khaDe chup-chap
patthar lab liye aur sans roke
bazi-e-shatranj par nazren jamae
mahw-e-manzar hain
ye manzar KHub manzar hai ki jis mein
na-tawan hathon ne zor-awar ka nashsha
ek lamhe mein utara hai
ye pyaade piT chuke hain
aur tumhaare fil aur asp-e-yazidi
ab yahan sar-ba-gareban hain
wazir-e-mohtaram ka KHana KHali hai
bisat-e-KHun-chakan par
mat hone mein
bas ek KHane ki duri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.