black-out ki aaKHiri raat
ab ham jaan ga.e haiñ ki añdhere hamārā muqaddar nahīñ the
balki tum ne shahr kī tamām strēt-lights bujhā dī thiiñ
hamārā frustration tumhārī makkārī hai ki ham se mohabbat aur jins kī
sachchī masarrateñ chhīn kar tum ne hameñ blue-film kā aadī banā diyā
hamāre hashīsh bhare sigreToñ kā dhuāñ tumhārī mashīnoñ ke azaab
aur miloñ kī chimniyoñ se nikalne vaale zahr kā natīja hai
lekin ab zahr tumhārā muqaddar hogā ki ham tavānā.ī ke saath zinda rahne kā gur jaan ga.e haiñ
ab ham continent ke ḳhuñḳhār bheḌiyoñ aur siberia ke
barfānī rīchhoñ se nahīñ Darte jinhoñ ne puurī duniyā ko naazī camp banā diyā thā
ab hameñ in masḳhare totoñ kī dānishvarī nahīñ chāhiye jo hazāroñ
saal kī raTī-raTā.ī bāteñ dohrā kar hameñ ilm ke naam par bevaqūf banā rahe the
plato bahut baḌā aadmī thā phir bhī apne daur kī republican ham ḳhud likheñge
ham ma.asūm bachche haiñ magar hamāre khilaune toḌ kar tum ne hameñ gāliyāñ dene par majbūr kar diyā
kal ham picnic manāte manāte magarmachh ke muñh meñ chale ga.e the
lekin aaj pāniyoñ par aag lagā kar tairte rahne kā fan siikh chuke haiñ
kal ham tum se baat karte Darte the lekin aaj
ḳhudā se hot-line par guftugū kar rahe haiñ
agar tum rockitoñ par baiTh kar bhagoḌoñ kī tarah chāñd aur mirrīḳh kī taraf
jaanā chāhte ho to jaao hameñ hamārī zamīn aur aane vaalā zamāna chāhiye
raat fāhisha aurat thī jo tumhāre saath soī rahī
lekin ab din nikal chukā hai aur us kā raushan sūraj
añdheroñ black-out aur fāhisha auratoñ ke liye maut kī alāmat hai
ab hum jaan gae hain ki andhere hamara muqaddar nahin the
balki tum ne shahr ki tamam street-lights bujha di thin
hamara frustration tumhaari makkari hai ki hum se mohabbat aur jins ki
sachchi masarraten chhin kar tum ne hamein blue-film ka aadi bana diya
hamare hashish bhare sigreTon ka dhuan tumhaari mashinon ke azab
aur milon ki chimniyon se nikalne wale zahr ka natija hai
lekin ab zahr tumhaara muqaddar hoga ki hum tawanai ke sath zinda rahne ka gur jaan gae hain
ab hum continent ke KHunKHar bheDiyon aur siberia ke
barfani richhon se nahin Darte jinhon ne puri duniya ko nazi camp bana diya tha
ab hamein in masKHare toton ki danishwari nahin chahiye jo hazaron
sal ki raTi-raTai baaten dohra kar hamein ilm ke nam par bewaquf bana rahe the
plato bahut baDa aadmi tha phir bhi apne daur ki republican hum KHud likhenge
hum masum bachche hain magar hamare khilaune toD kar tum ne hamein galiyan dene par majbur kar diya
kal hum picnic manate manate magarmachh ke munh mein chale gae the
lekin aaj paniyon par aag laga kar tairte rahne ka fan sikh chuke hain
kal hum tum se baat karte Darte the lekin aaj
KHuda se hot-line par guftugu kar rahe hain
agar tum rockiton par baiTh kar bhagoDon ki tarah chand aur mirriKH ki taraf
jaana chahte ho to jao hamein hamari zamin aur aane wala zamana chahiye
raat fahisha aurat thi jo tumhaare sath soi rahi
lekin ab din nikal chuka hai aur us ka raushan suraj
andheron black-out aur fahisha auraton ke liye maut ki alamat hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 181)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.