bojh-e-badan
badan masrūfiyat se thak gayā hai
nazar bhī ab bahut dhuñdlā ga.ī hai
chalo ab 'umr kī sīḌhī haTā leñ
kisī sahrā kī vīrānī pukāreñ
banā kar koī achchhā sā bahāna
ghane jangal kī tanhā.ī meñ rakkheñ
aur apne bojh se āñkheñ bachā kar
vahāñ se tez qadmoñ bhaag aa.eñ
badan masrufiyat se thak gaya hai
nazar bhi ab bahut dhundla gai hai
chalo ab 'umr ki siDhi haTa len
kisi sahra ki virani pukaren
bana kar koi achchha sa bahana
ghane jangal ki tanhai mein rakkhen
aur apne bojh se aankhen bacha kar
wahan se tez qadmon bhag aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.